kala
kaalā had se bhī kaalā thā
utnā kaalā jitnī terī soch
utnā kaalā jitnī tere dil kī kālak
kaun thā kaalā
kaalā kaalā sochtā jaatā
khurach khurach kar nochtā jaatā
apnā honā khojtā jaatā
jumloñ kī badbū ke andar
apnī ḳhushbū sūñghtā jaatā
apnī cigarette phūñktā jaatā
kaale kī cigarette bhī kaalī
kaale kā gurda bhī kaalā
kaale kī kuppī bhī kaalī
kaale kī chuskī bhī kaalī
kaale kā har kash bhī kaalā
har har kash se laal bhabhūkā
kaale kī āñkheñ bhī kaalī
āñkhoñ se girne vaale sab aañsū kaale
aur kaalī āñkhoñ meñ dikhne vaalī
mushkil kī dīvār bhī kaalī
kaale kī to jiit bhī kaalī haar bhī kaalī
kaale ke sab balb bhī kaale
kaale kī sab wiring kaalī
wiring vo jo andar andar
sulag sulag kar
kaale kī saarī sochoñ ko
aur ḳhvāboñ ko
galā chukī thī
jalā chukī thī
jab vo chaltā to lagtā vo lahrātā hai
chalte chalte bal khātā hai
gir jaatā hai
kaalā kyā thā
kalang kā Tiika
zamīñ kā dhabba
kaalā jis kī aag meñ jal kar raakh huā thā
kaale ke andar kī aag thī
yā thī vo bāhar kī aag
aag bhī kaalī
dhuāñ bhī kaalā raakh bhī kaalī
aag se uThne vaalā ik ik sho.ala kaalā
kaale kī bebasī bhī kaalī
kaale kī khujlī bhī kaalī
kaale ke sab phoḌe-phuñsī chhāle kaale
kaale ko sab kaalā kahne vaale kaale
ik din kaalī saḌak kināre
bañgālī ke paan ke cabin kī jaalī ko thāme kaalā
ghuur rahā thā aate jaate
rañg-birañge kirdāroñ ko
rickshaw motor cycle aur caroñ ko
ik lambī sī kaalī gaaḌī
dhuāñ uḌātī
chīḳhtī aur chillātī guzrī
gahre kaale bāloñ vaalī gorī bachchī
ek galī se bhāgtī niklī
kaalā bhāgā
aur gorī bachchī ko puure zor se dhakkā de kar
kaalī gaaḌī ke dhakke ko ḳhud par jhelā
kaalā jaate jaate sab se kaisā khelā
gorī bachchī bach ga.ī lekin
kaalā apnī jaañ de baiThā
piile laal gulābī chehre
kaale kī jānib jab lapke
sab ne dekhā
kaale kī āñkhoñ meñ chīḳh rahā thā ek savāl
kaale ke zaḳhmoñ se bahne vaalā ḳhuun thā laal
kala had se bhi kala tha
utna kala jitni teri soch
utna kala jitni tere dil ki kalak
kaun tha kala
kala kala sochta jata
khurach khurach kar nochta jata
apna hona khojta jata
jumlon ki badbu ke andar
apni KHushbu sunghta jata
apni cigarette phunkta jata
kale ki cigarette bhi kali
kale ka gurda bhi kala
kale ki kuppi bhi kali
kale ki chuski bhi kali
kale ka har kash bhi kala
har har kash se lal bhabhuka
kale ki aankhen bhi kali
aankhon se girne wale sab aansu kale
aur kali aankhon mein dikhne wali
mushkil ki diwar bhi kali
kale ki to jit bhi kali haar bhi kali
kale ke sab balb bhi kale
kale ki sab wiring kali
wiring wo jo andar andar
sulag sulag kar
kale ki sari sochon ko
aur KHwabon ko
gala chuki thi
jala chuki thi
jab wo chalta to lagta wo lahraata hai
chalte chalte bal khata hai
gir jata hai
kala kya tha
kalang ka Tika
zamin ka dhabba
kala jis ki aag mein jal kar rakh hua tha
kale ke andar ki aag thi
ya thi wo bahar ki aag
aag bhi kali
dhuan bhi kala rakh bhi kali
aag se uThne wala ek ek shoala kala
kale ki bebasi bhi kali
kale ki khujli bhi kali
kale ke sab phoDe-phunsi chhaale kale
kale ko sab kala kahne wale kale
ek din kali saDak kinare
bangali ke pan ke cabin ki jali ko thame kala
ghur raha tha aate jate
rang-birange kirdaron ko
rickshaw motor cycle aur caron ko
ek lambi si kali gaDi
dhuan uDati
chiKHti aur chillati guzri
gahre kale baalon wali gori bachchi
ek gali se bhagti nikli
kala bhaga
aur gori bachchi ko pure zor se dhakka de kar
kali gaDi ke dhakke ko KHud par jhela
kala jate jate sab se kaisa khela
gori bachchi bach gai lekin
kala apni jaan de baiTha
pile lal gulabi chehre
kale ki jaanib jab lapke
sab ne dekha
kale ki aankhon mein chiKH raha tha ek sawal
kale ke zaKHmon se bahne wala KHun tha lal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.