kala motiya
aaj ek kaale ko
mercedes meñ dekhā
dil meñ vasvase jaage
drugs kā ye pesha hai
auratoñ kī dallālī
yā hai bank kā Daaku
ho na ho ye gaaḌī bhī
paar kar ke laayā hai
is dhyān meñ merā
paañv is tarah uljhā
mercedes sar par thī
maut sāmne raqsāñ
merā sar bachāne ko
mercedes kaale ne
apnī gaaḌī de maarī
rāste ke khambe se
sar mirā salāmat thā
mercedes chaknā-chūr
kaale ne salāsat se
merī ḳhairiyat pūchhī
mere muñh se ye niklā
merī āñkhoñ meñ bhaa.ī
motiyā hai kaalā sā
aaj ek kale ko
mercedes mein dekha
dil mein waswase jage
drugs ka ye pesha hai
auraton ki dallali
ya hai bank ka Daku
ho na ho ye gaDi bhi
par kar ke laya hai
is dhyan mein mera
panw is tarah uljha
mercedes sar par thi
maut samne raqsan
mera sar bachane ko
mercedes kale ne
apni gaDi de mari
raste ke khambe se
sar mera salamat tha
mercedes chakna-chur
kale ne salasat se
meri KHairiyat puchhi
mere munh se ye nikla
meri aankhon mein bhai
motiya hai kala sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.