kali-andhi
vo to koñpal jaisī thī
maiñ ne use kyuuñ toḌ diyā
ye koñpal kī marzī thī
par koñpal kī marzī aisī kyuuñ hotī hai
TūTne meñ lazzat kaisī hai
haath aur koñpal meñ ye gūñgā rishta kyā hai
pāgal haath nahīñ bolegā
maiñ koñpal se pūchhūñgā
koñpal koñpal kaun pukāre koñpal raanī duur
vo ab paas nahīñ aa.egī
yaad nahīñ kyā hoñToñ ne hoñToñ se kahā thā
ham to TūTne aa.e the so TuuT chale
ab ḳhvāboñ kī chhāñv se bāhar jaane do
vo raftār kī kaalī āñdhī bāhar naach rahī hogī
us āñdhī meñ vāpas aanā mushkil hai
us āñdhī meñ chhupā huā koī haath hamārā sāhil hai
vo jo kahīñ kisī an-dekhe sāhil se jā Takrā.ī
yaad mujhe kyuuñ aatī hai
jism meñ ruuh kahāñ shāmil thī
pairoñ se shabnam kyuuñ lipTī
maiñ to ghaas pe dauḌā thā
wo to konpal jaisi thi
main ne use kyun toD diya
ye konpal ki marzi thi
par konpal ki marzi aisi kyun hoti hai
TuTne mein lazzat kaisi hai
hath aur konpal mein ye gunga rishta kya hai
pagal hath nahin bolega
main konpal se puchhunga
konpal konpal kaun pukare konpal rani dur
wo ab pas nahin aaegi
yaad nahin kya honTon ne honTon se kaha tha
hum to TuTne aae the so TuT chale
ab KHwabon ki chhanw se bahar jaane do
wo raftar ki kali aandhi bahar nach rahi hogi
us aandhi mein wapas aana mushkil hai
us aandhi mein chhupa hua koi hath hamara sahil hai
wo jo kahin kisi an-dekhe sahil se ja Takrai
yaad mujhe kyun aati hai
jism mein ruh kahan shamil thi
pairon se shabnam kyun lipTi
main to ghas pe dauDa tha
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 335)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.