kali barish
tārkol sā siyāh āsmān
apnī pathrā.ī āñkhoñ aur
mom jaisī putliyoñ se
girya-e-shab kartā rahā
vaah kyā jharnā thā
kyā ābshār thā
kyā jal-tarañg thā ki
aadam ne zamīn par sajda-e-shukr adā kiyā aur
apne kafan tak ko
be-dāġh bārish kī tarah
safed-o-shaffāf rakkhā
aaj bārish kaalī ho ga.ī to
kyā maiñ apne kafan ke rang ko kaalā kar luuñ
nahīñ hargiz nahīñ
is se behtar hai ki
ḳhud apne lahū meñ nahā kar
be-gor-o-kafan hī sahī
shahīd-o-surḳh-rū ho jā.ūñ
tarkol sa siyah aasman
apni pathrai aankhon aur
mom jaisi putliyon se
girya-e-shab karta raha
wah kya jharna tha
kya aabshaar tha
kya jal-tarang tha ki
aadam ne zamin par sajda-e-shukr ada kiya aur
apne kafan tak ko
be-dagh barish ki tarah
safed-o-shaffaf rakkha
aaj barish kali ho gai to
kya main apne kafan ke rang ko kala kar lun
nahin hargiz nahin
is se behtar hai ki
KHud apne lahu mein naha kar
be-gor-o-kafan hi sahi
shahid-o-surKH-ru ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.