kali raat hai
kaalī raat pe rañg nahīñ chaḌhtā hai koī
jhilmil jhilmil karte taare
surḳh agar ho jaa.eñ bhī to
kis kī nazar meñ ā.eñge ye
chāñd hī hotā
surḳh rañg is par phabtā bhī
kaalī raat hai
kaalī raat pe rañg nahīñ chaḌhne vaalā hai
maiñ ne apnī nabz kaaT kar
apnā lahū barbād kar diyā
kali raat pe rang nahin chaDhta hai koi
jhilmil jhilmil karte tare
surKH agar ho jaen bhi to
kis ki nazar mein aaenge ye
chand hi hota
surKH rang is par phabta bhi
kali raat hai
kali raat pe rang nahin chaDhne wala hai
main ne apni nabz kaT kar
apna lahu barbaad kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.