kali ret
maTyālī rātoñ kā paanī
kaale bistaroñ par bahtā hai
tum ne samundar ke kināre bistaraoñ kā ḳhvāb dekhā
aur apne faisle meñ zāhir ho ga.iiñ
phir vo bandar-gāh ḳhālī ho ga.ī
jis par
do shāḳheñ lahrātī haiñ
aur ek patthar chamaktā hai
maiñ un bārishoñ ko thamtā huā dekhtā huuñ
jin kī
barahnagī meñ ham samundaroñ tak jaate the
aur nekiyāñ talāsh karte the
maTyali raaton ka pani
kale bistaron par bahta hai
tum ne samundar ke kinare bistaraon ka KHwab dekha
aur apne faisle mein zahir ho gain
phir wo bandar-gah KHali ho gai
jis par
do shaKHen lahraati hain
aur ek patthar chamakta hai
main un barishon ko thamta hua dekhta hun
jin ki
barahnagi mein hum samundaron tak jate the
aur nekiyan talash karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.