kaam aur nam
kuchh kaam karo kuchh kaam karo
duniyā meñ paidā naam karo
din bhar mehnat meñ shaad raho
jab raat paḌe ārām karo
anjām ḳhudā ke haath meñ hai
tum koshish sub.h-o-shām karo
taklīf se rāhat miltī hai
ye saudā lo vo daam karo
himmat se aage baḌh jaao
baḌh kar hāsil in.aam karo
hamdardī se ġham-ḳhvārī se
har shaḳhs ke dil ko raam karo
logoñ meñ tumhārī qadr baḌhe
bachcho koī aisā kaam karo
ta.alīm jahāñ meñ phailāo
is 'faiz' kā charchā aam karo
kuchh kaam karo kuchh kaam karo
duniya mein paida nam karo
din bhar mehnat mein shad raho
jab raat paDe aaram karo
anjam KHuda ke hath mein hai
tum koshish subh-o-sham karo
taklif se rahat milti hai
ye sauda lo wo dam karo
himmat se aage baDh jao
baDh kar hasil inam karo
hamdardi se gham-KHwari se
har shaKHs ke dil ko ram karo
logon mein tumhaari qadr baDhe
bachcho koi aisa kaam karo
talim jahan mein phailao
is 'faiz' ka charcha aam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.