kaam wali
jañgalī phuul kī tarah
qudratī husn liye
jaise adh-pake phal ko khāne
bechain ho jaa.e koī
sirf ek suutī saarī kā libās
sundar siDaul badan
jīvan kī ghar grihastī meñ
rakhā thā qadam
ek doshīza ne jab
vaqt kī silvaToñ ne
banā diyā bad-rañg nishān
ek sehat-mand jism ko
kar diyā kamzor
sālāna paidāvār kī tarah
bachchoñ kī paidā.ish ne
ek do tiin chaar
are bas bhī kar
apnā haal to dekh
kyuuñ apnī jaan
gañvāne pe tulī hai
baat aa ga.ī samajh
nas-bandī karā lī
is pe nikammā sharābī shauhar
ghar ghar kaam na kare
to peT kaise bhare
gaañv meñ kyā dharā hai
banjar zamīn
nā khaad nā paanī
shahr meñ do paise kā
jugāḌ to hai
apnā kamātī huuñ
parivār pāltī huuñ
kaam vaalī huuñ maiñ
uuñh dekhā hai bahut sī
ghar mālkinoñ ko
ġhulāmī kā jīvan jiite
un se behtar haal hai merā
is kachche ghar meñ
apnā raaj chalātī huuñ
jangali phul ki tarah
qudrati husn liye
jaise adh-pake phal ko khane
bechain ho jae koi
sirf ek suti sari ka libas
sundar siDaul badan
jiwan ki ghar grihasti mein
rakha tha qadam
ek doshiza ne jab
waqt ki silwaTon ne
bana diya bad-rang nishan
ek sehat-mand jism ko
kar diya kamzor
salana paidawar ki tarah
bachchon ki paidaish ne
ek do tin chaar
are bas bhi kar
apna haal to dekh
kyun apni jaan
ganwane pe tuli hai
baat aa gai samajh
nas-bandi kara li
is pe nikamma sharabi shauhar
ghar ghar kaam na kare
to peT kaise bhare
ganw mein kya dhara hai
banjar zamin
na khad na pani
shahr mein do paise ka
jugaD to hai
apna kamati hun
pariwar palti hun
kaam wali hun main
unh dekha hai bahut si
ghar malkinon ko
ghulami ka jiwan jite
un se behtar haal hai mera
is kachche ghar mein
apna raj chalati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.