kanch
thakā-hārā azal kī vus.atoñ meñ ḳhaak kā putlā
hazāroñ man kī tārīkī tale thā sākit-o-jāmid
har ik zī-rūh kī nazroñ kā markaz, maujib-e-hairat
chamakte nūriyoñ kī shaukat-e-betāb kā shāhid
ghaḌī meñ kyā huā kyuuñ is qadar miTTī ke paikar ne
ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khāyā
khanaktī ḳhaak ne kyuuñ kāñpne kī ibtidā kar dī
na jaane reza-e-jāñ meñ samundar kyuuñ umaD aayā
kisī sayyāl mādde kā bahut shaffāf sā qatra
girā aur khub gayā, is ḳhaak ke be-laus TukḌe par
chubhan meñ ḳhaar thā lekin jalan meñ naar kī sūrat
diye raushan hue, phailī ziyā vijdān ke andar
phir ik āvāz! shāyad thā sadā-e-kun se ġhul barpā
usī sayyāl mādde se banā ik jazba-e-sozāñ
ki jis ke saath thī biphre hue ehsās kī sozish
huā us din se hī kar-e-muravvat rezish-e-pinhāñ
mohabbat kī rutūbat ne talātum-ḳhez gardish kī
surūd-e-himmat-e-ālī usī mizrāb se phūTā
bahut nāzuk, shagufta, tez-tar tāsīr thī us meñ
ki sañg-e-bad-gumānī bhī usī billor se TuuTā
usī jauhar kī jumbish se to ġhairat sar uThātī hai
sitam ke zahr kā tiryāq āḳhir ''sāñch'' bantā hai
vafā kī āñch, armānoñ kā īñdhan tez kartā hai
yahī jauhar pighaltā hai ''yaqīñ kā kāñch'' bantā hai
thaka-haara azal ki wusaton mein KHak ka putla
hazaron man ki tariki tale tha sakit-o-jamid
har ek zi-ruh ki nazron ka markaz, maujib-e-hairat
chamakte nuriyon ki shaukat-e-betab ka shahid
ghaDi mein kya hua kyun is qadar miTTi ke paikar ne
ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khaya
khanakti KHak ne kyun kanpne ki ibtida kar di
na jaane reza-e-jaan mein samundar kyun umaD aaya
kisi sayyal madde ka bahut shaffaf sa qatra
gira aur khub gaya, is KHak ke be-laus TukDe par
chubhan mein KHar tha lekin jalan mein nar ki surat
diye raushan hue, phaili ziya wijdan ke andar
phir ek aawaz! shayad tha sada-e-kun se ghul barpa
usi sayyal madde se bana ek jazba-e-sozan
ki jis ke sath thi biphre hue ehsas ki sozish
hua us din se hi kar-e-murawwat rezish-e-pinhan
mohabbat ki rutubat ne talatum-KHez gardish ki
surud-e-himmat-e-ali usi mizrab se phuTa
bahut nazuk, shagufta, tez-tar tasir thi us mein
ki sang-e-bad-gumani bhi usi billor se TuTa
usi jauhar ki jumbish se to ghairat sar uThati hai
sitam ke zahr ka tiryaq aaKHir sanch banta hai
wafa ki aanch, armanon ka indhan tez karta hai
yahi jauhar pighalta hai yaqin ka kanch banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.