kanha
aao na kisī din
yamunā kināre
kabhī kisī baḌ
yā pīpal par chaḌheñ
koī piilā sā āñchal
kyuuñ nahīñ dete sauġhāt meñ
mujhe bhī
dūr-dūr chaleñ charāh-gāh meñ
kheleñ mil kar donoñ
mīThā sā raag
kyuuñ nahīñ sunāte mujhe
kabhī to satāo
kabhī to maTkī phoḌo
churā lo makkhan kabhī to
kānhā kahāñ ho tum
aao na
rās-līlā karo
kabhī mere saath bhī
aao na kisi din
yamuna kinare
kabhi kisi baD
ya pipal par chaDhen
koi pila sa aanchal
kyun nahin dete saughat mein
mujhe bhi
dur-dur chalen charah-gah mein
khelen mil kar donon
miTha sa rag
kyun nahin sunate mujhe
kabhi to satao
kabhi to maTki phoDo
chura lo makkhan kabhi to
kanha kahan ho tum
aao na
ras-lila karo
kabhi mere sath bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.