kar-e-abas
ek pazhmurda din
jab raat kī dahlīz par
ūñghne lagtā hai
tab hī tārīkī kā sail-e-ravāñ use bahā le jaatā hai
nasoñ se himmat kā ek ek qatra
nichoḌ jaatā hai
aur zamīñ par maut kā sannāTā
hayāt kī halchal rehn rakh letā hai
magar qādir-e-mutlaq ai ḳhudā-e-vāhid
us vaqt bhī tū jaag rahā hotā hai
maiñ lamhātī maut kī chādar haTā kar
sajda-rez honā chāhtī huuñ
magar thakā huā din
mujhe tārīkī se
nikalne kā rāsta nahīñ detā
aur merī bandagī
nāqis aur adhūrī rah jaatī hai
aglī sub.h ham
ek baar phir
apnī apnī hayāt ke bache-kuchhe lamhāt
mujtam.a karte haiñ
himmat kā suud chukā kar
ḳhud ko āzād karāte haiñ
aur din kī raushnī ke izhdihām meñ
kār-e-abas meñ bah kar
phir tujh se duur ho jaate haiñ
ek pazhmurda din
jab raat ki dahliz par
unghne lagta hai
tab hi tariki ka sail-e-rawan use baha le jata hai
nason se himmat ka ek ek qatra
nichoD jata hai
aur zamin par maut ka sannaTa
hayat ki halchal rehn rakh leta hai
magar qadir-e-mutlaq ai KHuda-e-wahid
us waqt bhi tu jag raha hota hai
main lamhati maut ki chadar haTa kar
sajda-rez hona chahti hun
magar thaka hua din
mujhe tariki se
nikalne ka rasta nahin deta
aur meri bandagi
naqis aur adhuri rah jati hai
agli subh hum
ek bar phir
apni apni hayat ke bache-kuchhe lamhat
mujtama karte hain
himmat ka sud chuka kar
KHud ko aazad karaate hain
aur din ki raushni ke izhdiham mein
kar-e-abas mein bah kar
phir tujh se dur ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.