kar-e-junun
kahā ik roz sūraj ne
ḳhud apne aap se
zamīñ par ḳhushk-sālī
baḌh ga.ī hai
zamīñ kī pyaas
baḌhtī jā rahī hai
sisakte khetoñ ko
vahshat-zada
in jangaloñ ko
bilaktī rahguzāroñ
pyaas se bechain vaadī ko
musalsal aah bhartī sar-zamīnoñ
thakan se chuur
insānoñ kī bastī ko
zarūrat hai
na.e dariyāoñ kī
so us ne
apnī kirnoñ kī anī se
ba-tarz-e-tesha-e-farhād
ik din
pahāḌoñ se
na.e dariyāoñ ke
sote kiye jaarī
zamīnoñ kī anā thī
yā mizāj-e-mausam-e-daurāñ
jidhar se bhī guzartā koī dariyā
use miltī vahāñ
ik be-numū miTTī kī duniyā
magar sūraj
musalsal apnī dhun meñ
vahī kār-e-mohabbat kar rahā thā
ki ik din
ik kiran sūraj se bolī
mire pur-azm
aur pur-josh sūraj
mirī nazroñ meñ
tum shāyad abhī tak
musalsal kār-e-hasrat kar rahe ho
zamīñ sahrā kī
paanī se
kahāñ sairāb hotī hai
baraste bādaloñ ke
jaane kitne qāfile guzre
na jaane kitne dariyā
dafn haiñ
in reg-zāroñ meñ
magar kufrān-e-ne.amat kī ravish
hai aaj tak qaa.em
kiran kī baat sun kar
muskurāyā mahr-e-dil-afroz
kahā phir us ne
is nannhī kiran se
mujhe tā-der
ye kār-e-junūñ to
karte rahnā hai
ki merī aañkh meñ
ik ḳhvāb
ḳhema-zan abhī tak hai
kaha ek roz suraj ne
KHud apne aap se
zamin par KHushk-sali
baDh gai hai
zamin ki pyas
baDhti ja rahi hai
sisakte kheton ko
wahshat-zada
in jangalon ko
bilakti rahguzaron
pyas se bechain wadi ko
musalsal aah bharti sar-zaminon
thakan se chur
insanon ki basti ko
zarurat hai
nae dariyaon ki
so us ne
apni kirnon ki ani se
ba-tarz-e-tesha-e-farhad
ek din
pahaDon se
nae dariyaon ke
sote kiye jari
zaminon ki ana thi
ya mizaj-e-mausam-e-dauran
jidhar se bhi guzarta koi dariya
use milti wahan
ek be-numu miTTi ki duniya
magar suraj
musalsal apni dhun mein
wahi kar-e-mohabbat kar raha tha
ki ek din
ek kiran suraj se boli
mere pur-azm
aur pur-josh suraj
meri nazron mein
tum shayad abhi tak
musalsal kar-e-hasrat kar rahe ho
zamin sahra ki
pani se
kahan sairab hoti hai
baraste baadalon ke
jaane kitne qafile guzre
na jaane kitne dariya
dafn hain
in reg-zaron mein
magar kufran-e-neamat ki rawish
hai aaj tak qaem
kiran ki baat sun kar
muskuraya mahr-e-dil-afroz
kaha phir us ne
is nannhi kiran se
mujhe ta-der
ye kar-e-junun to
karte rahna hai
ki meri aankh mein
ek KHwab
KHema-zan abhi tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.