karwan-e-hayat
jo shor din kā thamā ba-mushkil
udaas rātoñ kī chāñdnī meñ
sitāre pichhlī pahar ye bole
sañbhal ke apnā uThāo ḳhema
ki dasht-e-ġhurbat meñ muntazir haiñ
hazāroñ ḳhūñ-ḳhār lāv-lashkar
liye halākat ke sāz-o-sāmāñ
haiñ ghaat meñ baiThe kārvāñ ke
jo shab ko guzre to maar Dāleñ
jo din ko guzre to rauñd Dāleñ
na.ī umangoñ kī raushnī meñ
ġhurūr-e-azm-e-javān ko le kar
husūl-e-manzil kī aarzū meñ
charāġh-e-ulfat kī lau baḌhā.e
hisār-e-sahrā ubuur karke
jo kārvān-e-hayāt pahuñchā
fazā meñ jhamkā vo nuur ban kar
ufuq pe ubhrā hilāl ban kar
hasīn rātoñ kī chāñdnī meñ
chamak uThā hai damak uThā hai
hazāroñ ḳhūñ-ḳhār lāv-lashkar
liye halākat ke sāz-o-sāmāñ
jo muntazir the vo so ga.e haiñ
vo rāh-e-manzil ko kho ga.e haiñ
ye kārvān-e-hayāt apnā
ravāñ-davāñ hai ravāñ-davāñ hai
jo shor din ka thama ba-mushkil
udas raaton ki chandni mein
sitare pichhli pahar ye bole
sanbhal ke apna uThao KHema
ki dasht-e-ghurbat mein muntazir hain
hazaron KHun-KHar law-lashkar
liye halakat ke saz-o-saman
hain ghat mein baiThe karwan ke
jo shab ko guzre to mar Dalen
jo din ko guzre to raund Dalen
nai umangon ki raushni mein
ghurur-e-azm-e-jawan ko le kar
husul-e-manzil ki aarzu mein
charagh-e-ulfat ki lau baDhae
hisar-e-sahra ubur karke
jo karwan-e-hayat pahuncha
faza mein jhamka wo nur ban kar
ufuq pe ubhra hilal ban kar
hasin raaton ki chandni mein
chamak uTha hai damak uTha hai
hazaron KHun-KHar law-lashkar
liye halakat ke saz-o-saman
jo muntazir the wo so gae hain
wo rah-e-manzil ko kho gae hain
ye karwan-e-hayat apna
rawan-dawan hai rawan-dawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.