kash
tumhāre chehre par
sirf do āñkheñ merī āshnā haiñ
jo mujh se ham-kalām rahtī haiñ
maiñ tumheñ apnī tamām hissiyāt kī yaksūī se milā huuñ
tumhārā jism merī poroñ ke liye ajnabī sahī
lekin phir bhī
tumhārī ḳhushbū meñ lipTā huā tumhārā lams
mujhe baasī nahīñ hone detā
kanakhiyoñ se dekhte hue sochtā huuñ
tumheñ jī bhar kar dekhne se bhī
āñkheñ bhūkī rah jaatī haiñ!
ai mere be-bahā!
kaash maiñ har samt se
hazār āñkhoñ se tumheñ dekhtā
lākhoñ masāmoñ se tumhāre lams chuntā
aur tumhāre donoñ hoñToñ ko
apne puure badan se chuum saktā!
tumhaare chehre par
sirf do aankhen meri aashna hain
jo mujh se ham-kalam rahti hain
main tumhein apni tamam hissiyat ki yaksui se mila hun
tumhaara jism meri poron ke liye ajnabi sahi
lekin phir bhi
tumhaari KHushbu mein lipTa hua tumhaara lams
mujhe basi nahin hone deta
kanakhiyon se dekhte hue sochta hun
tumhein ji bhar kar dekhne se bhi
aankhen bhuki rah jati hain!
ai mere be-baha!
kash main har samt se
hazar aankhon se tumhein dekhta
lakhon masamon se tumhaare lams chunta
aur tumhaare donon honTon ko
apne pure badan se chum sakta!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.