kash
kaash nūr-e-sahar kī koī kiran
zulf se kartī mujh ko ham-āġhosh
dil meñ jal uThtī mish.al-e-ummīd
duur hotī siyāhī-e-ġham-dosh
kaash mil jaatā naunihāl koī
mujh ko ḳhush rahnā jo sikhā detā
taaki maiñ hālat-e-alam meñ bhī
jhūmtā gaatā muskurā detā
kaash koī hasīn doshīza
rāz-e-ma.asūmiyat batā detī
dil ko dho kar havas ke dhabboñ se
husn-o-ulfat se jagmagā detī
kaash mard-e-javāñ koī miltā
aur vo soz-e-dil atā kartā
jis se maiñ maut se laḌātā aañkh
aur jiine kā haq adā kartā
kaash piirī vo pur-shikoh mile
vaqt jis ko shikast de na sake
jis kī vo chitvanoñ meñ azm-e-shabāb
kam-sinī yaad aa.e jab vo hañse
kaash tāroñ kā tābnāk jamāl
jān-o-tan meñ mire samā jaatā
duur ho jaatī ġham kī tārīkī
jis taraf ho ke maiñ guzar jaatā
kash nur-e-sahar ki koi kiran
zulf se karti mujh ko ham-aghosh
dil mein jal uThti mishal-e-ummid
dur hoti siyahi-e-gham-dosh
kash mil jata naunihaal koi
mujh ko KHush rahna jo sikha deta
taki main haalat-e-alam mein bhi
jhumta gata muskura deta
kash koi hasin doshiza
raaz-e-masumiyat bata deti
dil ko dho kar hawas ke dhabbon se
husn-o-ulfat se jagmaga deti
kash mard-e-jawan koi milta
aur wo soz-e-dil ata karta
jis se main maut se laData aankh
aur jine ka haq ada karta
kash piri wo pur-shikoh mile
waqt jis ko shikast de na sake
jis ki wo chitwanon mein azm-e-shabab
kam-sini yaad aae jab wo hanse
kash taron ka tabnak jamal
jaan-o-tan mein mere sama jata
dur ho jati gham ki tariki
jis taraf ho ke main guzar jata
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 94)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.