kash main puchh sakti
maiñ titlī ke paroñ kā khoyā huā rang thī
apne mausam ko DhūñDhtī sabz havā thī
puure chāñd kī rātoñ meñ bhīge hue sāhiloñ par
samundar ke gungunāne kī āvāz thī
jangaloñ ke siyah-āñchal par
sitāre Tāñktī chāñdnī thī
bārish kī hañsī thī
yā
havā kī chhuvan thī
tum ne mujhe mahaz ek aurat samjhā
kyā tumheñ apnī āstīn par
ḳhuun ke dhabbe dikhā.ī nahīñ dete
main titli ke paron ka khoya hua rang thi
apne mausam ko DhunDhti sabz hawa thi
pure chand ki raaton mein bhige hue sahilon par
samundar ke gungunane ki aawaz thi
jangalon ke siyah-anchal par
sitare Tankti chandni thi
barish ki hansi thi
ya
hawa ki chhuwan thi
tum ne mujhe mahaz ek aurat samjha
kya tumhein apni aastin par
KHun ke dhabbe dikhai nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.