kash samajhdar na banun
Interesting Fact
(I wish I didn't become wise. Wise women suffer.)
tajraba-kār zehn to sab samajh jaatā hai
zehn meñ sochoñ ko band kar ke
taalā Daal duuñ
chālāk āñkheñ to sab kuchh taaḌ letī haiñ
in par lā-ilmī ke shīshe chaḌhā duuñ
apne hassās dil ko
zarā ḳhātir meñ na lā.ūñ
maazī kā tamām mushāhida aur tajraba
jo darj hai zehn par
use miTā Dālūñ
merī aql mere liye azaab ban ga.ī hai
kaash samajhdār na banūñ
siskī aur qahqaha
maiñ apne paañv tale se jannat nikāl kar
baḌī ḳhushī se tumheñ sauñpne ke liye tayyār huuñ
maiñ apne paañv meñ bañdhī grihastī kī beḌiyoñ ko
bas thoḌā sā Dhīlā kar rahī huuñ
ziyāda duur nahīñ jā.ūñgī
ek qahqaha lagā kar ek siskī bhar kar
yā ek nazm likh kar lauT ā.ūñgī
maiñ āzād aurat huuñ lekin
agar mere bachchoñ ke bāloñ meñ līkheñ paḌ jaa.eñ
un kī gardan par pasīna milī miTTī nazar aa.e
mere khānoñ meñ masālahoñ kī tartīb gaḌbaḌ ho jaa.e
bachchoñ ke home-work kī copy par
not-done likhā huā aa jaa.e
ghar aa.e mehmānoñ ko ḳhush-āmdīd kahte hue
ek cup chaa.e bhī na pilā sakūñ
office se lauTte hue thake hue shauhar se
hāl-ahvāl bhī na pūchhūñ
to merī sāñseñ ghuTTī huī
aur qahqaha phaTī phaTī āñkheñ
aur nazm adhūrā ḳhvāb lagtī hai
ḳhudā ne nubuvvat atā karte hue imaam banāte hue
puurī qalandarī atā karte hue
mujh par e'tibār nahīñ kiyā thā
puurī qaum ko a.alā nasl dene kī zimmedārī
faqat merī hai
is aa.alī mansab par kaam karte karte
maiñ thak bhī to saktī huuñ
merī ittifāqī ruḳhsat manzūr ho chukī hai
maiñ jā rahī huuñ ek siskī bharne ek qahqaha lagāne
aur ek nazm likhne ke liye
chhuTTī aḳhlāqī taur par manzūr hone ke bāvajūd
ghar kī har chiiz ko mujh se shikāyat
kyuuñ hai
bachchoñ ke chehre par ġhussa dekh kar sochtī huuñ
qahqaha ayyāshī aur siskī yā aas hai
aur nazm paañv meñ chubhā huā kāñch kā TukḌā hai
merī maañ kahtī hai
tum mujh se achchhī maañ nahīñ ho
tum ajab ho ghar shauhar aur bachchoñ ke alāva
aur bhī kuchh chāhtī ho
merī beTī mere haath se qalam chhīn kar
kahtī hai french-fry banā kar do
maiñ sochtī huuñ
merī beTī ko bhī jab
ek qahqahe nazm yā tasvīr ke liye
apnī zindagī kī tijorī se
kuchh pal darkār hoñge
to maiñ use kyā mashvara dūñgī
qahqaha bachpan kī bichhḌī huī sakhī
siskī hāthoñ se uḌtā huā panchhī
aur nazm gunāh hai
tajraba-kar zehn to sab samajh jata hai
zehn mein sochon ko band kar ke
tala Dal dun
chaalak aankhen to sab kuchh taD leti hain
in par la-ilmi ke shishe chaDha dun
apne hassas dil ko
zara KHatir mein na laun
mazi ka tamam mushahida aur tajraba
jo darj hai zehn par
use miTa Dalun
meri aql mere liye azab ban gai hai
kash samajhdar na banun
siski aur qahqaha
main apne panw tale se jannat nikal kar
baDi KHushi se tumhein saunpne ke liye tayyar hun
main apne panw mein bandhi grihasti ki beDiyon ko
bas thoDa sa Dhila kar rahi hun
ziyaada dur nahin jaungi
ek qahqaha laga kar ek siski bhar kar
ya ek nazm likh kar lauT aaungi
main aazad aurat hun lekin
agar mere bachchon ke baalon mein likhen paD jaen
un ki gardan par pasina mili miTTi nazar aae
mere khanon mein masalahon ki tartib gaDbaD ho jae
bachchon ke home-work ki copy par
not-done likha hua aa jae
ghar aae mehmanon ko KHush-amdid kahte hue
ek cup chae bhi na pila sakun
office se lauTte hue thake hue shauhar se
haal-ahwal bhi na puchhun
to meri sansen ghuTTi hui
aur qahqaha phaTi phaTi aankhen
aur nazm adhura KHwab lagti hai
KHuda ne nubuwwat ata karte hue imam banate hue
puri qalandari ata karte hue
mujh par e'tibar nahin kiya tha
puri qaum ko aala nasl dene ki zimmedari
faqat meri hai
is aaali mansab par kaam karte karte
main thak bhi to sakti hun
meri ittifaqi ruKHsat manzur ho chuki hai
main ja rahi hun ek siski bharne ek qahqaha lagane
aur ek nazm likhne ke liye
chhuTTi aKHlaqi taur par manzur hone ke bawajud
ghar ki har chiz ko mujh se shikayat
kyun hai
bachchon ke chehre par ghussa dekh kar sochti hun
qahqaha ayyashi aur siski ya aas hai
aur nazm panw mein chubha hua kanch ka TukDa hai
meri man kahti hai
tum mujh se achchhi man nahin ho
tum ajab ho ghar shauhar aur bachchon ke alawa
aur bhi kuchh chahti ho
meri beTi mere hath se qalam chhin kar
kahti hai french-fry bana kar do
main sochti hun
meri beTi ko bhi jab
ek qahqahe nazm ya taswir ke liye
apni zindagi ki tijori se
kuchh pal darkar honge
to main use kya mashwara dungi
qahqaha bachpan ki bichhDi hui sakhi
siski hathon se uDta hua panchhi
aur nazm gunah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.