kash
us ḳhāmosh qil.e kī
saḳht lohe sī dīvāreñ
har taraf safed ġhamgīn parde
vo apnī ālī-shān kursī par baiThī
koī hisāb joḌ rahī hai
us kā phīkā sapāT bojhal chehra
jaise bhītar kā ek ruup
us ke uuprī ruup rañg ko khā chukā ho
achānak darvāze kī dastak
dabī huī siskiyoñ kā shor
ūñche darvāze ko kholte hī
us kī bhāv-vihīn āñkhoñ meñ
sañvednāoñ kī halchal ho uThtī hai
sub.h kī os narm dhuup meñ
nāzuk kopal sā ek bachcha
apnī chīḳh ko gale meñ Thuus kar
us kī taraf qil.e kī taraf
dauḌā aa rahā thā
abhī gale lagā kar ro paḌegā jaise
vo ek Tuk use dekhtī rahtī hai
magar gale nahīñ lagā paatī vo
us kā hirdai kahtā hai ki bhej de use
vāpas us ke ghar jahāñ
us kā intizār ho rahā hogā
is tivr ichhā ke saath
barsoñ se nirlap rahī us kī āñkhoñ meñ
dabī huī bhāvnā.eñ gatī-mān ho kar bahne lagtī hai
he īshvar vo āñkheñ muuñd letī hai
mez par rakhī hisāboñ vaalī kitāb dikhā.ī detī hai
aur nau-pallavit paude kī
nāzuk Daalī jaisī uñgliyāñ thaam kar
vo use qil.e ke bhītar le aatī hai
totīñg darvāza karkash āvāz ke saath
band ho jaatā hai
vo bilakhte hue bachche ko āġhosh meñ le letī hai
ḳhāmosh kamre meñ us ma.asūm kī
dhaḌakne sāñseñ siskiyoñ kā shor
tez ho uThtā hai
vo kas ke us bachche ko
apne bhītar sameT kar gahrī niiñd sulā detī hai
jab koī shor baaqī nahīñ rahtā tab
us ke bhītar kā rūdan bāhar aane ko taḌaptā hai
magar us ke adh-mare man mastishk
use yaad dilāte hai ki
maut mātam nahīñ manā saktī
kaash mujhe bhī haq hotā
darvāze pe aa.e ko vāpas bhejne kā
kaash
bhārī qadmoñ pe uTh kar vo
us kitāb meñ kuchh joḌ detī hai
din kā ujālā surya kā tej
lajjit ho kar sar jhukā lete hai
havā bhī chhobhit ho kar niilī paḌ jaatī hai
saarī sirishTī añdhkār kī gart meñ Dūbne lagtī hai
us KHamosh qile ki
saKHt lohe si diwaren
har taraf safed ghamgin parde
wo apni aali-shan kursi par baiThi
koi hisab joD rahi hai
us ka phika sapaT bojhal chehra
jaise bhitar ka ek rup
us ke upri rup rang ko kha chuka ho
achanak darwaze ki dastak
dabi hui siskiyon ka shor
unche darwaze ko kholte hi
us ki bhaw-wihin aankhon mein
sanwednaon ki halchal ho uThti hai
subh ki os narm dhup mein
nazuk kopal sa ek bachcha
apni chiKH ko gale mein Thus kar
us ki taraf qile ki taraf
dauDa aa raha tha
abhi gale laga kar ro paDega jaise
wo ek Tuk use dekhti rahti hai
magar gale nahin laga pati wo
us ka hirdai kahta hai ki bhej de use
wapas us ke ghar jahan
us ka intizar ho raha hoga
is tiwr ichha ke sath
barson se nirlap rahi us ki aankhon mein
dabi hui bhawnaen gati-man ho kar bahne lagti hai
he ishwar wo aankhen mund leti hai
mez par rakhi hisabon wali kitab dikhai deti hai
aur nau-pallawit paude ki
nazuk Dali jaisi ungliyan tham kar
wo use qile ke bhitar le aati hai
toting darwaza karkash aawaz ke sath
band ho jata hai
wo bilakhte hue bachche ko aaghosh mein le leti hai
KHamosh kamre mein us masum ki
dhaDakne sansen siskiyon ka shor
tez ho uThta hai
wo kas ke us bachche ko
apne bhitar sameT kar gahri nind sula deti hai
jab koi shor baqi nahin rahta tab
us ke bhitar ka rudan bahar aane ko taDapta hai
magar us ke adh-mare man mastishk
use yaad dilate hai ki
maut matam nahin mana sakti
kash mujhe bhi haq hota
darwaze pe aae ko wapas bhejne ka
kash
bhaari qadmon pe uTh kar wo
us kitab mein kuchh joD deti hai
din ka ujala surya ka tej
lajjit ho kar sar jhuka lete hai
hawa bhi chhobhit ho kar nili paD jati hai
sari sirishTi andhkar ki gart mein Dubne lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.