kash waqt tham jata
kitāb-e-hayāt kā ye pannā
achchhā hotā jo barqarār rahtā
vaqt kī tez raftār par
kaash merā bhī iḳhtiyār rahtā
ek dilkash safīna ban kar
guzre vaqt kā lamha lamha
āñkhoñ kī gahrī jhiil meñ
khaa.e hachkole rafta rafta
ye safīna sāhil pā bhī letā
gar haath meñ patvār rahtā
yuuñ to ek lambe arse tak
saath rahe ham ek jagah
lekin jaise hī mile kyuuñ
judā.ī kā lamha aa gayā
qāfila vaqt kā yahīñ tham jaa.e
hai bas yahī intizār rahtā
kitab-e-hayat ka ye panna
achchha hota jo barqarar rahta
waqt ki tez raftar par
kash mera bhi iKHtiyar rahta
ek dilkash safina ban kar
guzre waqt ka lamha lamha
aankhon ki gahri jhil mein
khae hachkole rafta rafta
ye safina sahil pa bhi leta
gar hath mein patwar rahta
yun to ek lambe arse tak
sath rahe hum ek jagah
lekin jaise hi mile kyun
judai ka lamha aa gaya
qafila waqt ka yahin tham jae
hai bas yahi intizar rahta
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 48)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.