kashif miyan bahadur
bhūtoñ kī ik havelī meñ kāshif miyāñ ga.e
aisā laḌe ki bhūtoñ ke chhakke chhuḌā diye
ik bhuut kuud phāñd ke chimanī pe chaḌh gayā
aur dūsrā dahāḌ ke chhat phāḌne lagā
sab se baḌā jo thā vahīñ dham se luḌhak rahā
kāshif ke ek ghūñse meñ chiiñ bolnā paḌā
aur chhoTe-moTe bhūtoñ kā kyā haal pūchhnā
chhupne kī kone kone meñ vo DhūñDte the jā
koī chhupā thā TuuTe hue taḳht ke tale
koī pukārtā thā bachāo ki ham mare
sab moTī chhoTī bhūtniyāñ chīḳhne lagīñ
baal apne noch noch ke muñh pīTne lagīñ
chhoTe-baḌe bahut the vahāñ bhuut bhūtnī
kāshif miyāñ ke aage kisī kī nahīñ chalī
sab haath bāñdh bāñdh ke rote pukārte
kāshif miyāñ se kahne lage kījiye muaaf
ham bhuul ke bhī ab na havelī meñ ā.eñge
aa bhī ga.e to aap se kab bachne pā.eñge
lekin baḌe ġhazab kī tabhī baat ye huī
is shor aur sharābe se aañkh un kī khul ga.ī
tab ye patā chalā unheñ ye sab to ḳhvāb thā
jo bhī ho ḳhvāb un kā baḌā lā-javāb thā
bhuton ki ek haweli mein kashif miyan gae
aisa laDe ki bhuton ke chhakke chhuDa diye
ek bhut kud phand ke chimani pe chaDh gaya
aur dusra dahaD ke chhat phaDne laga
sab se baDa jo tha wahin dham se luDhak raha
kashif ke ek ghunse mein chin bolna paDa
aur chhoTe-moTe bhuton ka kya haal puchhna
chhupne ki kone kone mein wo DhunDte the ja
koi chhupa tha TuTe hue taKHt ke tale
koi pukarta tha bachao ki hum mare
sab moTi chhoTi bhutniyan chiKHne lagin
baal apne noch noch ke munh piTne lagin
chhoTe-baDe bahut the wahan bhut bhutni
kashif miyan ke aage kisi ki nahin chali
sab hath bandh bandh ke rote pukarte
kashif miyan se kahne lage kijiye muaf
hum bhul ke bhi ab na haweli mein aaenge
aa bhi gae to aap se kab bachne paenge
lekin baDe ghazab ki tabhi baat ye hui
is shor aur sharabe se aankh un ki khul gai
tab ye pata chala unhen ye sab to KHwab tha
jo bhi ho KHwab un ka baDa la-jawab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.