kashi
gañgā kī chhātī par
sar rakh kar na.ī
kuchh der
jakḌe banaras ke
būḌhe nāḳhūnoñ aur jhurriyoñ ne
chipchipātī chamḌī vaale hāthoñ ko
chhū kar yuuñ lagā ki tum vahī ho jo maiñ huuñ
aur ye merī jagah hai
maiñ huuñ manikarnikā
aur tum mere kāshī
ye jo gañgā hai nā
isī meñ bahte bahte ham ek kināre
mile the kabhī
aur hamesha ke liye ek ho ga.e
ye gañgā hī sākshī hai
gañgā hī rishta
yahī prem bhī
suutr bhī ye hai
ham gañgā ke kañkar
gañgā kī aulād
aur isī meñ moh
moksh bhī isī meñ
maiñ manikarnikā
tum mere kāshī
ganga ki chhati par
sar rakh kar nai
kuchh der
jakDe banaras ke
buDhe naKHunon aur jhurriyon ne
chipchipati chamDi wale hathon ko
chhu kar yun laga ki tum wahi ho jo main hun
aur ye meri jagah hai
main hun manikarnika
aur tum mere kashi
ye jo ganga hai na
isi mein bahte bahte hum ek kinare
mile the kabhi
aur hamesha ke liye ek ho gae
ye ganga hi sakshi hai
ganga hi rishta
yahi prem bhi
sutr bhi ye hai
hum ganga ke kankar
ganga ki aulad
aur isi mein moh
moksh bhi isi mein
main manikarnika
tum mere kashi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.