kawak
sab āñkheñ Tāñgoñ meñ jaḌī haiñ
riiḌh kī haDDī ke mankoñ meñ kaan lage haiñ
naaf ke uupar ro.eñ ro.eñ meñ ek zabāñ hai
patlūneñ saarī āvāzeñ sun letī haiñ
do patlūneñ jhagaḌ rahī haiñ
''itnī qīmat kyuuñ letī ho tum meñ aisī kyā ḳhūbī hai''
kaise gāhak ho tum āḳhir mol badan kā de sakte ho
patī-vartā kā mol tumhāre paas nahīñ hai
chust nukīlā brazier ye chīḳh rahā hai
sharm nahīñ aatī kuttoñ ko charch ke aage khaḌe hue haiñ
rustam Tharra piye khaḌā hai bus-stop kī chhat ke nīche
aur sohrāb se pūchh rahā hai
''beTā maal kahāñ miltā hai?''
mandir kī chaukhaT par baiThī andhī āñkheñ
aate jaate autāroñ kī ḳhufiya jebeñ taak rahī haiñ
haspatāl ke ūñche nīche zīnoñ par ik ik murde ko
gāñdhī jī donoñ hāthoñ se injection dete phirte haiñ
washington vietnam meñ baiThā barham-putr ke paanī ko whiskey ke jaam meñ ghol rahā hai
london lanka kī saḌkoñ pe sar nivḌhā.e ghuum rahā hai
kāñgoñ āvāra phirtā hai paris ke gande chakloñ meñ
budh ke TūTe-phūTe but ke sar par būḌhā kargas
murdoñ kī majlis meñ baiThā apnī biptā sunā rahā hai
masjid ke saa.e meñ baiThā kam-sin gīdaḌ
us kī gavāhī meñ kahtā hai
bechāra kam-sin hai us kī choñch se ab tak
duudh kī ḳhushbū sī aatī hai
uupar niile khule gagan meñ
ek kabūtar apnī choñch meñ ik zaitūn kī shāḳh liye uḌtā phirtā hai
aur us shāḳh ke donoñ jānib
atom bomb ke paat lage haiñ
insāñ kā dāyāñ baazū ik barg-e-ḳhizāñ kī tarah laraz kar TuuT rahā hai
aur us ke baa.eñ baazū par koh-e-himala dharā huā hai
jaane phir bhī vo talvār kī dhaar pe kaise chal saktā hai
maiñ is bhiiḌ meñ chaurāhe par tanhā baiThā soch rahā huuñ
duniyā isrāfīl ke pahle suur ke ba.ad yūñhī lagtī hai
''gas ke kamre meñ'' shāyad yūñhī hotā hai
pop paal kī Topī mere bheje meñ dhañstī jaatī hai
sab aankhen Tangon mein jaDi hain
riDh ki haDDi ke mankon mein kan lage hain
naf ke upar roen roen mein ek zaban hai
patlunen sari aawazen sun leti hain
do patlunen jhagaD rahi hain
itni qimat kyun leti ho tum mein aisi kya KHubi hai
kaise gahak ho tum aaKHir mol badan ka de sakte ho
pati-warta ka mol tumhaare pas nahin hai
chust nukila brazier ye chiKH raha hai
sharm nahin aati kutton ko charch ke aage khaDe hue hain
rustam Tharra piye khaDa hai bus-stop ki chhat ke niche
aur sohrab se puchh raha hai
beTa mal kahan milta hai?
mandir ki chaukhaT par baiThi andhi aankhen
aate jate autaron ki KHufiya jeben tak rahi hain
haspatal ke unche niche zinon par ek ek murde ko
gandhi ji donon hathon se injection dete phirte hain
washington wietnam mein baiTha barham-putr ke pani ko whiskey ke jam mein ghol raha hai
london lanka ki saDkon pe sar niwDhae ghum raha hai
kangon aawara phirta hai paris ke gande chaklon mein
budh ke TuTe-phuTe but ke sar par buDha kargas
murdon ki majlis mein baiTha apni bipta suna raha hai
masjid ke sae mein baiTha kam-sin gidaD
us ki gawahi mein kahta hai
bechaara kam-sin hai us ki chonch se ab tak
dudh ki KHushbu si aati hai
upar nile khule gagan mein
ek kabutar apni chonch mein ek zaitun ki shaKH liye uDta phirta hai
aur us shaKH ke donon jaanib
atom bomb ke pat lage hain
insan ka dayan bazu ek barg-e-KHizan ki tarah laraz kar TuT raha hai
aur us ke baen bazu par koh-e-himala dhara hua hai
jaane phir bhi wo talwar ki dhaar pe kaise chal sakta hai
main is bhiD mein chaurahe par tanha baiTha soch raha hun
duniya israfil ke pahle sur ke baad yunhi lagti hai
gas ke kamre mein shayad yunhi hota hai
pop pal ki Topi mere bheje mein dhansti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.