kazib farar
aaj maiñ ḳhud se bahut duur nikal aayā huuñ
apne jazboñ se pare
apne ḳhayāloñ se pare
apnī yādoñ kī virāsat se pare
aaj maiñ ḳhud se bahut duur nikal aayā huuñ
duur itnā ki jahāñ
koī nahīñ duur talak
koī hamdard nahīñ
koī bhī dam-sāz nahīñ
sirf TuuTe hue rishtoñ kī sulagtī huī ret
merī āñkhoñ ke samundar kī taraf uḌtī hai
duur tak gum-shuda lamhāt kī qabroñ pe
udāsī ke diye jalte haiñ
koī rasta koī manzil na kisī samt safar kā imkān
vāpsī kī sabhī rāheñ masdūd
sirf ik jhūTī anā hai
jo na.e ḳhvāb dikhātī hai mujhe
ḳhvāb aise jinheñ ta.abīr se Dar lagtā hai
ḳhvāb aise
jinheñ biite hue lamhāt kī sachchā.ī se ḳhauf aatā hai
aaj maiñ ḳhud se
bahut duur nikal aayā huuñ
phir bhī lagtā hai
koī mujh ko pukāre
to palaT jā.ūñ maiñ
apne jazboñ kī taraf
apne biite hue lamhoñ kī taraf
apnī taraf
apne badan meñ vāpas
aaj main KHud se bahut dur nikal aaya hun
apne jazbon se pare
apne KHayalon se pare
apni yaadon ki wirasat se pare
aaj main KHud se bahut dur nikal aaya hun
dur itna ki jahan
koi nahin dur talak
koi hamdard nahin
koi bhi dam-saz nahin
sirf TuTe hue rishton ki sulagti hui ret
meri aankhon ke samundar ki taraf uDti hai
dur tak gum-shuda lamhat ki qabron pe
udasi ke diye jalte hain
koi rasta koi manzil na kisi samt safar ka imkan
wapsi ki sabhi rahen masdud
sirf ek jhuTi ana hai
jo nae KHwab dikhati hai mujhe
KHwab aise jinhen tabir se Dar lagta hai
KHwab aise
jinhen bite hue lamhat ki sachchai se KHauf aata hai
aaj main KHud se
bahut dur nikal aaya hun
phir bhi lagta hai
koi mujh ko pukare
to palaT jaun main
apne jazbon ki taraf
apne bite hue lamhon ki taraf
apni taraf
apne badan mein wapas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.