kab karoge hamara istiqbaal
vaqt kā aisā ye jazīra hai
jahāñ din aur raat kuchh bhī nahīñ
zehn-o-dil ab haiñ aise aalam meñ
hosh-o-be-hoshī meñ nahiñ kuchh farq
ajnabiyyat hai ek ḳhalā hai ye
yahāñ ḳhud kā patā nahiñ miltā
phir bhī kuchh to sunā.ī detā hai
chand āvāzeñ aur ek dastak
har sadā kā kuchh aisā lahja hai
jaise dahshat ho dard ho maujūd
jaise ismat ko koī ḳhatra ho
har sadā kar rahī hai ye minnat
khol do khol do kivāḌ apne
vaqt guzrā dimāġh jaag gayā
dil ne bhī ye sadā.eñ sun hī liiñ
ham samajhte the tum to shā.er ho
narm dil hoge mehrbāñ hoge
ham ko apne yahāñ sharan doge
maiñ nai jaanā ki merī DevḌhī par
zaḳhmī hālat meñ kuchh paḌe the ḳhayāl
kuchh hare zaḳhm chand taaza malāl
an-sune jumle an-kahe alfāz
isti.ārāt zāviye jazbāt
an-chhue kuchh muhāvare ilhām
sab kī āñkhoñ meñ thā bas ek savāl
kab karoge hamārā istiqbāl
waqt ka aisa ye jazira hai
jahan din aur raat kuchh bhi nahin
zehn-o-dil ab hain aise aalam mein
hosh-o-be-hoshi mein nahin kuchh farq
ajnabiyyat hai ek KHala hai ye
yahan KHud ka pata nahin milta
phir bhi kuchh to sunai deta hai
chand aawazen aur ek dastak
har sada ka kuchh aisa lahja hai
jaise dahshat ho dard ho maujud
jaise ismat ko koi KHatra ho
har sada kar rahi hai ye minnat
khol do khol do kiwaD apne
waqt guzra dimagh jag gaya
dil ne bhi ye sadaen sun hi lin
hum samajhte the tum to shaer ho
narm dil hoge mehrban hoge
hum ko apne yahan sharan doge
main nai jaana ki meri DewDhi par
zaKHmi haalat mein kuchh paDe the KHayal
kuchh hare zaKHm chand taza malal
an-sune jumle an-kahe alfaz
istiaraat zawiye jazbaat
an-chhue kuchh muhaware ilham
sab ki aankhon mein tha bas ek sawal
kab karoge hamara istiqbaal
- Book : Namak (Pg. 189)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.