kab se rasta dekh rahe hain
rangoñ meñ vo baat nahīñ hai aur hunar bhī aajiz hai
kaun banā.egā tasvīreñ jab āñkhoñ meñ ḳhvāb nahīñ
ashkoñ meñ vo zor nahīñ hai dil meñ vaisī taab nahīñ
kab se rasta dekh rahe haiñ dekhne vaale hasrat se
ek musavvir aa.egā jo dard ke rang jagā.egā
in ḳhvābīda rañgoñ meñ vo dil kā nuur milā.egā
phir tasvīreñ boleñgī aur daad hunar kī pā.eñgī
yā phir aib kī tohmat le kar be-qīmat bik jā.eñgī
rangon mein wo baat nahin hai aur hunar bhi aajiz hai
kaun banaega taswiren jab aankhon mein KHwab nahin
ashkon mein wo zor nahin hai dil mein waisi tab nahin
kab se rasta dekh rahe hain dekhne wale hasrat se
ek musawwir aaega jo dard ke rang jagaega
in KHwabida rangon mein wo dil ka nur milaega
phir taswiren bolengi aur dad hunar ki paengi
ya phir aib ki tohmat le kar be-qimat bik jaengi
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 97)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.