kab tak aankhen mund ke baiThen
kab tak āñkheñ muuñd ke baiTheñ kab tak dhokā khā.eñge
kab tak desh luTegā yūñhī kab ham hosh meñ ā.eñge
ghuus dalālī kā sab paisa Daal bidesī bankoñ meñ
rishvat-ḳhor afsar aur netā kab tak ḳhair manāeñge
kab tak chaltā jā.egā ye number do kā kārobār
kab tak tax churāne vaale ūñche mahal banā.eñge
kab ġhurbat kī maarī jantā vote kī qīmat samjhegī
kab tak kaale dhan se yaaro vote ḳharīde jā.eñge
kab tak sansad meñ baiTheñge jin ko jail meñ jaanā thā
vo jo peshe se mujrim haiñ kyā qānūn banā.eñge
bhuuk ġharībī bekārī kā DhūñDhegā ab kaun 'ilāj
roz ghoTāle karne vaale kyā sarkār chalā.eñge
dushman ham ko rahe haiñ gher ham baiThe haiñ āñkheñ pher
āñkheñ band kar lene se kyā ḳhatre ḳhud Tal jā.eñge
dillī shahr pe raaj kareñge kab tak bhaḌve aur dalāl
dillī kī ye daldal kyā ham saaf kabhī kar pā.eñge
phir se kab sonā uglegī rishiyoñ kī ye paak zamīñ
bhārat ko sone kī chiḌiyā phir se kab kah pā.eñge
kab tak aankhen mund ke baiThen kab tak dhoka khaenge
kab tak desh luTega yunhi kab hum hosh mein aaenge
ghus dalali ka sab paisa Dal bidesi bankon mein
rishwat-KHor afsar aur neta kab tak KHair manaenge
kab tak chalta jaega ye number do ka karobar
kab tak tax churane wale unche mahal banaenge
kab ghurbat ki mari janta wote ki qimat samjhegi
kab tak kale dhan se yaro wote KHaride jaenge
kab tak sansad mein baiThenge jin ko jail mein jaana tha
wo jo peshe se mujrim hain kya qanun banaenge
bhuk gharibi bekari ka DhunDhega ab kaun 'ilaj
roz ghoTale karne wale kya sarkar chalaenge
dushman hum ko rahe hain gher hum baiThe hain aankhen pher
aankhen band kar lene se kya KHatre KHud Tal jaenge
dilli shahr pe raj karenge kab tak bhaDwe aur dalal
dilli ki ye daldal kya hum saf kabhi kar paenge
phir se kab sona uglegi rishiyon ki ye pak zamin
bhaarat ko sone ki chiDiya phir se kab kah paenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.