kab tak
rahegā tund-ḳhū sūraj jahāñ par hukmrāñ kab tak
raheñge ḳhaak ke zarre fazā meñ pur-fishāñ kab tak
ye kamzoroñ kī ābādī meñ tāqat kī ‘amal-dārī
rahegā dev-e-istibdād kā sikka ravāñ kab tak
tamāsha kab talak dekhegī qudrat ḳhūn-e-armāñ kā
gireñgī ḳhirman-e-dahqāñ pe āḳhir bijliyāñ kab tak
rahegī husn kī kab tak diloñ par mashq-e-gul-kārī
mohabbat kī raheñgī dāstāneñ ḳhūñ-chakāñ kab tak
rahegī shauq ke paañv meñ kab tak vaqt kī beḌī
bisāt-e-yās par leñgī umīdeñ siskiyāñ kab tak
agar soz-e-yaqīñ dil meñ hai āñkheñ dekh hī leñgī
chhupā rakkhegā manzil ko ġhubār-e-kārvāñ kab tak
rahega tund-KHu suraj jahan par hukmran kab tak
rahenge KHak ke zarre faza mein pur-fishan kab tak
ye kamzoron ki aabaadi mein taqat ki ‘amal-dari
rahega dew-e-istibdad ka sikka rawan kab tak
tamasha kab talak dekhegi qudrat KHun-e-arman ka
girengi KHirman-e-dahqan pe aaKHir bijliyan kab tak
rahegi husn ki kab tak dilon par mashq-e-gul-kari
mohabbat ki rahengi dastanen KHun-chakan kab tak
rahegi shauq ke panw mein kab tak waqt ki beDi
bisat-e-yas par lengi umiden siskiyan kab tak
agar soz-e-yaqin dil mein hai aankhen dekh hi lengi
chhupa rakkhega manzil ko ghubar-e-karwan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.