kabhi aao
mire bāloñ meñ chāñdī khil rahī hai
mire lahje meñ mīThā ras ghulā hai
tumhārā naam aate hī magar ab bhī
dil-e-betāb vaise hī dhaḌaktā hai
kabhī jaise tumhāre qurb ke mausam
mire chhoTe se kamre meñ
usī sūrat mahakte the
ajab kuchh rañg bharte the
vo mausam saare mausam aaj bhī
is dal ke ik chhoTe se kone meñ
usī sūrat mahakte haiñ
ajab kuchh rañg bharte haiñ
kabhī aao zarā dekho
mire bāloñ meñ chāñdī khil rahī hai
mire lahje meñ mīThā ras ghulā hai
mere baalon mein chandi khil rahi hai
mere lahje mein miTha ras ghula hai
tumhaara nam aate hi magar ab bhi
dil-e-betab waise hi dhaDakta hai
kabhi jaise tumhaare qurb ke mausam
mere chhoTe se kamre mein
usi surat mahakte the
ajab kuchh rang bharte the
wo mausam sare mausam aaj bhi
is dal ke ek chhoTe se kone mein
usi surat mahakte hain
ajab kuchh rang bharte hain
kabhi aao zara dekho
mere baalon mein chandi khil rahi hai
mere lahje mein miTha ras ghula hai
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 39)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.