kabhi bhi lauT na paun
akele aur fursat meñ
kabhī sab chhoḌ jaa.eñ to
bas anjāne meñ tum yūñhī mujhe miss call de denā
mujhe bas baat karnā hai
mirī jaañ baat aisī
jo kabhī na ḳhatm ho paa.e
ye ḳhvāhish hai
kisī din bas tirī āvāz meñ ghul kar
mohabbat meñ kahīñ dhul kar
hayāt-e-jāvedāñ pā.ūñ
hisār-e-‘ishq meñ tere
kuchh is tarh bhaTak jā.ūñ
kabhī bhī lauT na pā.ūñ
kabhī bhī lauT na pā.ūñ
akele aur fursat mein
kabhi sab chhoD jaen to
bas anjaane mein tum yunhi mujhe miss call de dena
mujhe bas baat karna hai
meri jaan baat aisi
jo kabhi na KHatm ho pae
ye KHwahish hai
kisi din bas teri aawaz mein ghul kar
mohabbat mein kahin dhul kar
hayat-e-jawedan paun
hisar-e-‘ishq mein tere
kuchh is tarh bhaTak jaun
kabhi bhi lauT na paun
kabhi bhi lauT na paun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.