Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi

Shagufta Naim Hashmi

kabhi kabhi

Shagufta Naim Hashmi

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    kabhī kabhī kuchh zaḳhm purāne dard nayā dete haiñ

    zaḳhmoñ ke in dāġhoñ se

    koī yaad risne lagtī hai

    kabhī kabhī maazī madfan

    jab kurede tanhā.ī

    yādoñ ke kuchh naag nikal kar

    phir se Dasne lagte haiñ

    aur na.e purāne ġham mil kar

    sab mujh pe hañsne lagte haiñ

    āvāze kasne lagte haiñ

    to zaḳhm bhī taaza lagtā hai

    aur dard bhī taaza lagtā hai

    to na.e sire se un yādoñ ko

    dafnāne lag jaatī huuñ

    thak jaatī huuñ

    kabhī kabhī

    kabhi kabhi kuchh zaKHm purane dard naya sa dete hain

    zaKHmon ke in daghon se

    koi yaad si risne lagti hai

    kabhi kabhi mazi ka madfan

    jab kurede tanhai

    yaadon ke kuchh nag nikal kar

    phir se Dasne lagte hain

    aur nae purane gham mil kar

    sab mujh pe hansne lagte hain

    aawaze kasne lagte hain

    to zaKHm bhi taza lagta hai

    aur dard bhi taza lagta hai

    to nae sire se un yaadon ko

    dafnane lag jati hun

    thak jati hun

    kabhi kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now