kabhi kabhi
kabhī kabhī behad Dar lagtā hai
ki dostī ke sab rupahle rishte
pyaar ke saare sunahre bandhan
sūkhī Tahniyoñ kī tarah
chaTaḳh kar TuuT na jaa.eñ
āñkheñ khuleñ, band hoñ dekheñ
lekin bāteñ karnā chhoḌ deñ
haath kaam kareñ
uñgliyāñ duniyā bhar ke qaziye likkheñ
magar phuul jaise bachchoñ ke
Dagmagāte chhoTe chhoTe pairoñ ko
sahārā denā bhuul jaa.eñ
aur suhānī shabnamī rātoñ meñ
jab raushniyāñ gul ho jaa.eñ
taare motiyā chamelī kī tarah mahkeñ
priit kī riit
nibhā.ī na jaa.e
diloñ meñ kaThortā ghar kar le
man ke chanchal sote suukh jaa.eñ
yahī maut hai!
us dūsrī se
bahut ziyāda burī
jis par sab aañsū bahāte haiñ
arthī uThtī hai
chitā sulagtī hai
qabroñ par phuul chaḌhā.e jaate haiñ
charāġh julte haiñ
lekin ye، ye to
tanhā.ī ke bhayānak maqbare haiñ
dā.imī qaid hai
jis ke gol gumbad se
apnī chīḳhoñ kī bhī
bāz-gasht nahīñ aatī
kabhī kabhī behad Dar lagtā hai
kabhi kabhi behad Dar lagta hai
ki dosti ke sab rupahle rishte
pyar ke sare sunahre bandhan
sukhi Tahniyon ki tarah
chaTaKH kar TuT na jaen
aankhen khulen, band hon dekhen
lekin baaten karna chhoD den
hath kaam karen
ungliyan duniya bhar ke qaziye likkhen
magar phul jaise bachchon ke
Dagmagate chhoTe chhoTe pairon ko
sahaara dena bhul jaen
aur suhani shabnami raaton mein
jab raushniyan gul ho jaen
tare motiya chameli ki tarah mahken
prit ki rit
nibhai na jae
dilon mein kaThorta ghar kar le
man ke chanchal sote sukh jaen
yahi maut hai!
us dusri se
bahut ziyaada buri
jis par sab aansu bahate hain
arthi uThti hai
chita sulagti hai
qabron par phul chaDhae jate hain
charagh julte hain
lekin ye، ye to
tanhai ke bhayanak maqbare hain
daimi qaid hai
jis ke gol gumbad se
apni chiKHon ki bhi
baz-gasht nahin aati
kabhi kabhi behad Dar lagta hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.