kabhi socha bhi hai tumne
kabhī sochā bhī hai tum ne
tumhārī zaat ke andar
us ek ehsās ke andar
tumhārī ruuh se ho kar
tumhārī nabz meñ
dhaḌkan meñ
in aatī jaatī sāñsoñ meñ
kabhī maddham havāoñ meñ
kabhī sunsān rastoñ meñ
koī jugnū chamaktā hai
aur us kī raushnī meñ tum
achānak kho se jaate ho
kabhī ḳhushbū kī sūrat meñ
rag-e-jāñ meñ
shah-e-rag meñ
vo yuuñ tahlīl hotā hai
nazar kuchh bhī nahīñ aatā
magar jab kore kāġhaz par
qalam ko haath meñ le kar
ġhazal kahne ko hote ho
to vo mānūs sī ḳhushbū
tumhāre gird ek haala banātī hai
muqaddas dā.ere meñ qaid kartī hai
to vo alfāz ko kāġhaz pe
motī se chamakte haiñ
isī mānūs sī ḳhushbū se
jaane kyuuñ mahakte haiñ
tumhāre zehn aur dil meñ
sukūñ sā phail jaatā hai
magar tum kab ye samjhoge
mo.attar kar rahī hai jo
tumhārī ruuh meñ bas kar
vo tum meñ zam huī hai jo
tumhīñ meñ rahnā chāhtī hai
kabhi socha bhi hai tum ne
tumhaari zat ke andar
us ek ehsas ke andar
tumhaari ruh se ho kar
tumhaari nabz mein
dhaDkan mein
in aati jati sanson mein
kabhi maddham hawaon mein
kabhi sunsan raston mein
koi jugnu chamakta hai
aur us ki raushni mein tum
achanak kho se jate ho
kabhi KHushbu ki surat mein
rag-e-jaan mein
shah-e-rag mein
wo yun tahlil hota hai
nazar kuchh bhi nahin aata
magar jab kore kaghaz par
qalam ko hath mein le kar
ghazal kahne ko hote ho
to wo manus si KHushbu
tumhaare gird ek haala banati hai
muqaddas daere mein qaid karti hai
to wo alfaz ko kaghaz pe
moti se chamakte hain
isi manus si KHushbu se
jaane kyun mahakte hain
tumhaare zehn aur dil mein
sukun sa phail jata hai
magar tum kab ye samjhoge
moattar kar rahi hai jo
tumhaari ruh mein bas kar
wo tum mein zam hui hai jo
tumhin mein rahna chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.