kabutar
āsmāñ kī vus.atoñ meñ ghūmte
tamām din guzar gayā
sitāra TimTimā rahā thā shab
DhūñDte rahe sabhī
mire lahū meñ bah gayā
kidhar gayā
sunahrī dhuup chhāñv meñ
nīlgūñ fazāoñ meñ
use mirī talāsh thī
maiñ us ko DhūñDhtā rahā
shaam jab thake thake
bikharte bāl-o-par liye
maiñ ḳhaak kā amiiñ huā
sitāra mere baḳht kā
zamīñ kī kokh se ugā
aasman ki wusaton mein ghumte
tamam din guzar gaya
sitara TimTima raha tha shab
DhunDte rahe sabhi
mere lahu mein bah gaya
kidhar gaya
sunahri dhup chhanw mein
nilgun fazaon mein
use meri talash thi
main us ko DhunDhta raha
sham jab thake thake
bikharte baal-o-par liye
main KHak ka amin hua
sitara mere baKHt ka
zamin ki kokh se uga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.