kachcha rang
sabz zard surḳh aur ba-nafsī
chaman ke saare rañg pur-kashish haiñ
magar maiñ Dar rahī huuñ ki koī rañg uḌ ke
mire dupaTTe ke zholīda rañgoñ pe chaḌh na jaa.e
tamannā-e-dil ke canvas par
mujhe tamāshā-e-fan-e-tajrīd se duur rakhnā
maiñ apnā pairāgī rañg oḌhe
chaman ko bas duur se tak rahī huuñ
mujhe tumhāre rañgoñ se kyā lenā-denā
maiñ kachche rañgoñ aarzī mausamoñ se duur bhāgtī huuñ
sabz zard surKH aur ba-nafsi
chaman ke sare rang pur-kashish hain
magar main Dar rahi hun ki koi rang uD ke
mere dupaTTe ke zholida rangon pe chaDh na jae
tamanna-e-dil ke canwas par
mujhe tamasha-e-fan-e-tajrid se dur rakhna
main apna pairagi rang oDhe
chaman ko bas dur se tak rahi hun
mujhe tumhaare rangon se kya lena-dena
main kachche rangon aarzi mausamon se dur bhagti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.