kachcha rishta
maañ jī
bārish ke aane se pahle hī
ham chāroñ pān.cho bhaa.ī mil kar
apne hāthoñ
apne ghar ko līpā-potā karte haiñ
maañ jī
halkī halkī būñdā bāñdī hī se
apne ghar kī chhat se paanī risne lagtā hai
aur āñdhī aane se pahle hī
apne ghar kī dīvāreñ hilne lagtī haiñ
maañ jī
gobar chiknī miTTī aur paanī
in tīnoñ meñ
kaun sā rishta kachchā hai
man ji
barish ke aane se pahle hi
hum chaaron pancho bhai mil kar
apne hathon
apne ghar ko lipa-pota karte hain
man ji
halki halki bunda bandi hi se
apne ghar ki chhat se pani risne lagta hai
aur aandhi aane se pahle hi
apne ghar ki diwaren hilne lagti hain
man ji
gobar chikni miTTi aur pani
in tinon mein
kaun sa rishta kachcha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.