kachche dhage
aurat apnī zaat ko daana daana
ek hī hastī ke dhāge meñ gūñdhe
gūñdh ke samjhe
us kī zaat kī sab bikhrī kaḌiyāñ zanjīr huiiñ
dhāge kī bas ek girah ke bal par
apnī hastī kī takmīl ke imkānāt piro de
kachche dhāge
girah lagā dene se kab mazbūt hue
jab chāheñ
jis tarah se chāheñ
phir se is tasbīh ko toḌ ke
zaat ko daana kar deñ
aurat apni zat ko dana dana
ek hi hasti ke dhage mein gundhe
gundh ke samjhe
us ki zat ki sab bikhri kaDiyan zanjir huin
dhage ki bas ek girah ke bal par
apni hasti ki takmil ke imkanat piro de
kachche dhage
girah laga dene se kab mazbut hue
jab chahen
jis tarah se chahen
phir se is tasbih ko toD ke
zat ko dana kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.