kachchi basti
galiyāñ
aur galiyoñ meñ galiyāñ
chhoTe ghar
nīche darvāze
TaaT ke parde
mailī bad-rañgī dīvāreñ
dīvāroñ se sar Takrātī
koī gaalī
galiyoñ ke siine par bahtī
gandī naalī
galiyoñ ke māthe par bahtā
āvāzoñ kā ganda naalā
āvāzoñ kī bhiiḌ bahut hai
insānoñ kī bhiiḌ bahut hai
kaḌve aur kasīle chehre
bad-halī ke zahr se haiñ zahrīle chehre
bīmārī se piile chehre
marte chehre
haare chehre
be-bas aur bechāre chehre
saare chehre
ek pahāḌī kachre kī
aur us par phirte
āvāra kuttoñ se bachche
apnā bachpan DhūñD rahe haiñ
din Dhaltā hai
is bastī meñ rahne vaale
auroñ kī jannat ko apnī mehnat de kar
apne jahannam kī jānib
ab thake hue
jhunjhlā.e hue se
lauT rahe haiñ
ek galī meñ
zañg lage piipe rakkhe haiñ
kachchī daarū mahak rahī hai
aaj savere se
bastī meñ
qatl-o-ḳhūñ kā
chāqū-zanī kā
koī qissa nahīñ huā hai
ḳhair
abhī to shaam hai
puurī raat paḌī hai
yuuñ lagtā hai
saarī bastī
jaise ik dukhtā phoḌā hai
yuuñ lagtā hai
saarī bastī
jaise hai ik jaltā kaḌhāv
yuuñ lagtā hai
jaise ḳhudā nukkaḌ par baiThā
TūTe-phūTe insāñ
aune-paune dāmoñ
bech rahā hai!
galiyan
aur galiyon mein galiyan
chhoTe ghar
niche darwaze
TaT ke parde
maili bad-rangi diwaren
diwaron se sar Takraati
koi gali
galiyon ke sine par bahti
gandi nali
galiyon ke mathe par bahta
aawazon ka ganda nala
aawazon ki bhiD bahut hai
insanon ki bhiD bahut hai
kaDwe aur kasile chehre
bad-hali ke zahr se hain zahrile chehre
bimari se pile chehre
marte chehre
haare chehre
be-bas aur bechaare chehre
sare chehre
ek pahaDi kachre ki
aur us par phirte
aawara kutton se bachche
apna bachpan DhunD rahe hain
din Dhalta hai
is basti mein rahne wale
auron ki jannat ko apni mehnat de kar
apne jahannam ki jaanib
ab thake hue
jhunjhlae hue se
lauT rahe hain
ek gali mein
zang lage pipe rakkhe hain
kachchi daru mahak rahi hai
aaj sawere se
basti mein
qatl-o-KHun ka
chaqu-zani ka
koi qissa nahin hua hai
KHair
abhi to sham hai
puri raat paDi hai
yun lagta hai
sari basti
jaise ek dukhta phoDa hai
yun lagta hai
sari basti
jaise hai ek jalta kaDhaw
yun lagta hai
jaise KHuda nukkaD par baiTha
TuTe-phuTe insan
aune-paune damon
bech raha hai!
- Book : LAVA (Pg. 95)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.