kachchi diwaren
merī maañ har din apne būḌhe hāthoñ se
idhar udhar se miTTī lā kar
ghar kī kachchī dīvāroñ ke zaḳhmoñ ko
bhartī rahtī hai
tez havāoñ ke jhoñkoñ se
bechārī kitnā Dartī hai
merī maañ kitnī bholī hai
barsoñ kī siilī dīvāreñ
chhoTe-moTe paivandoñ se
āḳhir kab tak ruk pā.eñgī
jab koī bādal garjegā
har har kartī Dheh jā.eñgī
meri man har din apne buDhe hathon se
idhar udhar se miTTi la kar
ghar ki kachchi diwaron ke zaKHmon ko
bharti rahti hai
tez hawaon ke jhonkon se
bechaari kitna Darti hai
meri man kitni bholi hai
barson ki sili diwaren
chhoTe-moTe paiwandon se
aaKHir kab tak ruk paengi
jab koi baadal garjega
har har karti Dheh jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.