kachchi Dori
kabhī kabhī lagtā hai
man ke ḳhālī-pan kī uub
vaqt ke dhāgoñ se banī huī ek Dorī hai
is meñ bun jaatī haiñ yādeñ
pichhlī bātoñ kī biitī rātoñ kī
is meñ guthīñ haiñ chāhateñ
aane vaalī sauġhātoñ kī
ye Dorī behad kachchī sī hai
lagtā hai TuuT jā.egī
abhī isī lamhe ko bāñdhne meñ
ek bhī sachche shaffāf lamhe kī taab
is ko chhū bhī ga.ī to
ye Dorī kaT jā.egī
bikhar jā.egī
is ko bachā lo
is ko mohabbat se mazbūt kar do
is man ke ḳhālī-pan kī uub ko
apnī maujūdgī se bhar do
kabhi kabhi lagta hai
man ke KHali-pan ki ub
waqt ke dhagon se bani hui ek Dori hai
is mein bun jati hain yaaden
pichhli baaton ki biti raaton ki
is mein guthin hain chahaten
aane wali saughaton ki
ye Dori behad kachchi si hai
lagta hai TuT jaegi
abhi isi lamhe ko bandhne mein
ek bhi sachche shaffaf lamhe ki tab
is ko chhu bhi gai to
ye Dori kaT jaegi
bikhar jaegi
is ko bacha lo
is ko mohabbat se mazbut kar do
is man ke KHali-pan ki ub ko
apni maujudgi se bhar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.