kachre ka Dher
kāñdhe par qad se lambī borī laTkā.e
ek bachcha
kachre ke us Dher kī jānib lapaktā hai
jahāñ se
naak band kar ke guzarnā bhī dushvār lagtā hai
shaam tak
ġhalāzat ke us pahāḌ se
vo badbū-dār
Dabbe botaleñ aur bosīda kāġhaz chunegā
din Dhale
apnī ḳhvārī kī
sastī mazdūrī jab pā.egā
ghar jaate hue vo
ḳhushī kā raag gā.egā
magar
us kī niilī shaffāf āñkhoñ kā
siyāh ḳhvāb
taaza kachre kā Dher
koī nahīñ sochegā
us kī dūdhiyā jild kī tah meñ
utartī zahrīlī mail
koī nahīñ dho.egā
vo ma.asūm bachcha
kyā hameñ
kabhī nazar nahīñ aa.egā
kandhe par qad se lambi bori laTkae
ek bachcha
kachre ke us Dher ki jaanib lapakta hai
jahan se
nak band kar ke guzarna bhi dushwar lagta hai
sham tak
ghalazat ke us pahaD se
wo badbu-dar
Dabbe botalen aur bosida kaghaz chunega
din Dhale
apni KHwari ki
sasti mazduri jab paega
ghar jate hue wo
KHushi ka rag gaega
magar
us ki nili shaffaf aankhon ka
siyah KHwab
taza kachre ka Dher
koi nahin sochega
us ki dudhiya jild ki tah mein
utarti zahrili mail
koi nahin dhoega
wo masum bachcha
kya hamein
kabhi nazar nahin aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.