kaDi dhup se pahaDon tak
mehr-e-tābāñ kī tez kirnoñ se
zarra-zarra hai ātish-paikar
har taraf ek haul-nāk samāñ
har taraf mahv-e-iztirāb insāñ
rāstoñ pe Dagar pe khetoñ pe
chhā gayā hai buḳhār kā ġhalba
kuchh maveshī khaḌe lab-e-dariyā
pī ke āb-e-hayāt baiTh rahe
ho ke pazhmurda sabza-zāroñ se
chal rahī hai havā-e-kaif-āgīñ
gā rahe haiñ ajiib sā naġhma
chiiḌ ke peḌ kho.e-kho.e se
aa rahī hai thakī-thakī sī sadā
sang-rezoñ se ābshāroñ se
ik sukūñ-āfrīñ shajar ke tale
aa ke leTā huā huuñ ghaas pe maiñ
jaise lorī sunā rahā hai koī
jaise har ġham se pā chukā huuñ najāt
jaise har fikr saath chhoḌ chukī
phir kisī ne uThā diyā aakar
is jagah se bhagā diyā aakar
ye sukūñ aur ye pyaar fitrat kā
is zamāne kī yaad meñ shāyad
jab ki insān dast-e-fitrat kā
ḳhūbsūrat sā ik khilaunā thā
jaise maaoñ kī god meñ bachche
aaj ye chain ye sukūn kahāñ
aaj to jangaloñ ke andar bhī
shahr ke kārobār chalte haiñ
aaj jangal kī zindagī ke liye
shahr sab se baḌā darinda hai
mehr-e-taban ki tez kirnon se
zarra-zarra hai aatish-paikar
har taraf ek haul-nak saman
har taraf mahw-e-iztirab insan
raston pe Dagar pe kheton pe
chha gaya hai buKHar ka ghalba
kuchh maweshi khaDe lab-e-dariya
pi ke aab-e-hayat baiTh rahe
ho ke pazhmurda sabza-zaron se
chal rahi hai hawa-e-kaif-agin
ga rahe hain ajib sa naghma
chiD ke peD khoe-khoe se
aa rahi hai thaki-thaki si sada
sang-rezon se aabshaaron se
ek sukun-afrin shajar ke tale
aa ke leTa hua hun ghas pe main
jaise lori suna raha hai koi
jaise har gham se pa chuka hun najat
jaise har fikr sath chhoD chuki
phir kisi ne uTha diya aakar
is jagah se bhaga diya aakar
ye sukun aur ye pyar fitrat ka
is zamane ki yaad mein shayad
jab ki insan dast-e-fitrat ka
KHubsurat sa ek khilauna tha
jaise maon ki god mein bachche
aaj ye chain ye sukun kahan
aaj to jangalon ke andar bhi
shahr ke karobar chalte hain
aaj jangal ki zindagi ke liye
shahr sab se baDa darinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.