kaDi masafat
us ne mujh se hisāb māñgā hai
'umr-bhar kī kamā.ī ko us kī
maiñ ne kaise kahāñ pe ḳharch kiyā
paa.ī paa.ī kā ab hisāb maiñ duuñ
us kī har baat kā javāb maiñ duuñ
ye to us kī purānī 'ādat hai
kitne barsoñ se sun rahī huuñ magar
jaane kyoñ aaj us kī baat mire
dil meñ ik tiir ban ke utrī hai
lamha bhar ko ye maiñ ne sochā hai
'umr kī is kaḌī masāfat meñ
maiñ ne pūchhā hai ye kabhī us se
vo sarāpā vo ḳhadd-o-ḳhāl mire
kin guphāoñ meñ kho ga.e āḳhir
ghanī zulfeñ darāz resham sī
jhāḌ-jhankār ban ga.iiñ kaise
nail-polish lage jo nāḳhun the
chapTe chapTe se ab hue kaise
jī meñ aatā hai ab kahūñ us se
kabhī maiñ ne hisāb māñgā hai
us ne mujh se hisab manga hai
'umr-bhar ki kamai ko us ki
main ne kaise kahan pe KHarch kiya
pai pai ka ab hisab main dun
us ki har baat ka jawab main dun
ye to us ki purani 'adat hai
kitne barson se sun rahi hun magar
jaane kyon aaj us ki baat mere
dil mein ek tir ban ke utri hai
lamha bhar ko ye main ne socha hai
'umr ki is kaDi masafat mein
main ne puchha hai ye kabhi us se
wo sarapa wo KHadd-o-KHal mere
kin guphaon mein kho gae aaKHir
ghani zulfen daraaz resham si
jhaD-jhankar ban gain kaise
nail-polish lage jo naKHun the
chapTe chapTe se ab hue kaise
ji mein aata hai ab kahun us se
kabhi main ne hisab manga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.