kaDwe talKH kasile zaiqe
ham shorīda kaḌve talḳh kasīle zā.iqe
raat kī pur-shahvat āñkhoñ se Tapke taaza qatre
shaam ke kaale siyāh māthe kī nañgī maḳhrūtī ḳhārish
dopahroñ ke jalte gosht kī tez bisāñd
raat kī kaalī raan se bahtā andhā laavā
ḳhalīj kī gahrā.ī se bāhar aatā
qadam qadam par ḳhauf tabāhī dahshat paidā kartā
bikhar rahā hai
rātoñ kī sayyāl malāmat apnī lambī zulf bikhere
kaḌve mausam ke jashnoñ meñ naach rahī hai
kaḌve talḳh kasīle zā.iqoñ ke in jashnoñ meñ
gardan tak maiñ pighal gayā huuñ
māthe par in shorīda jashnoñ kī mohreñ sabt huī haiñ
kaḌve zā.iqe joñkeñ ban kar taalū se ab chimaT ga.e haiñ
tez aur tund tezābī sūraj
hāñpte aur karāhte sard makānoñ kī mutvarrim chīḳheñ
mutvarrim sāñsoñ meñ surḳh tashaddud kī chīḳheñ
mere kaan meñ surḳh tashaddud kī chīḳhoñ kī
chhāvniyāñ ābād huī haiñ
ham shorīda kaḌve talḳh kasīle zā.iqe
nau-zā.ida shahroñ ke muñh pe
qatra qatra Tapak rahe haiñ
hum shorida kaDwe talKH kasile zaiqe
raat ki pur-shahwat aankhon se Tapke taza qatre
sham ke kale siyah mathe ki nangi maKHruti KHarish
dopahron ke jalte gosht ki tez bisand
raat ki kali ran se bahta andha lawa
KHalij ki gahrai se bahar aata
qadam qadam par KHauf tabahi dahshat paida karta
bikhar raha hai
raaton ki sayyal malamat apni lambi zulf bikhere
kaDwe mausam ke jashnon mein nach rahi hai
kaDwe talKH kasile zaiqon ke in jashnon mein
gardan tak main pighal gaya hun
mathe par in shorida jashnon ki mohren sabt hui hain
kaDwe zaiqe jonken ban kar talu se ab chimaT gae hain
tez aur tund tezabi suraj
hanpte aur karahte sard makanon ki mutwarrim chiKHen
mutwarrim sanson mein surKH tashaddud ki chiKHen
mere kan mein surKH tashaddud ki chiKHon ki
chhawniyan aabaad hui hain
hum shorida kaDwe talKH kasile zaiqe
nau-zaida shahron ke munh pe
qatra qatra Tapak rahe hain
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.