kahan dafn hai wo
naqāhat ke maare burā haal thā
phir bhī bistar se uTh kar
baḌe pyaar se us ne mujh ko bulāyā
mire sar pe shafqat-bharā haath pherā
nihāyat halīmī se mujh ko kahā
suno mere bachche
tumheñ aaj maiñ
apne pachpan baras de rahā huuñ
agar ho sake to
kabhī in kī qīmat chukānā
mirī qabr par thuuk jaanā
bas itnā kahā aur vo mar gayā
aur maiñ
us ke barsoñ kī qīmat ko
muñh meñ chhupā.e
use DhūñDtā huuñ
kahāñ dafn hai vo
naqahat ke mare bura haal tha
phir bhi bistar se uTh kar
baDe pyar se us ne mujh ko bulaya
mere sar pe shafqat-bhara hath phera
nihayat halimi se mujh ko kaha
suno mere bachche
tumhein aaj main
apne pachpan baras de raha hun
agar ho sake to
kabhi in ki qimat chukana
meri qabr par thuk jaana
bas itna kaha aur wo mar gaya
aur main
us ke barson ki qimat ko
munh mein chhupae
use DhunDta hun
kahan dafn hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.