kahan hain hum
kahāñ the ham
samundar sī kisī ḳhvāhish ke sāhil par
hañstī bhīgtī saa.at kī sangat meñ
hañsī kitnī sajal thī
aañkh ke har kunj meñ
titlī kī sūrat uḌtī phirtī thī
rah-e-shab meñ ghanā jangal
yā koī ajnabī rasta
hamāre sāmne aatā
to us dīvār ke siine se kitne dur nikal aa.e
lahū kī taal par manzil
dhaḌak uThtī thī pahlū meñ
kisī ehsās ke dhuñdle
ufuq se din nikal aatā
aur apne saath kyā kyā
qurmuzī kirnoñ meñ leTe
pyaar ke sandes le aatā
bahut takrīm ke mausam
tah-e-jāñ se ubharte the
duāoñ se bhare
sarsabz hāthoñ ko yaqīñ thā
jhilmilāte ḳhvāb
ḳhushbū-ḳheziyoñ meñ fard hoñge
aur taqarrub ke kisī
betāb se pal ko jagā.eñge
to sarpaT bhāgtī
ye umr kī hirnī
kisī zanjīr-e-va.ada meñ
kahīñ ruk kar
hameñ chāhat se dekhegī
kahāñ haiñ ham
kisī vīrān sāhil par
hamārī aarzū kī kashtiyāñ
auñdhī paḌī haiñ
aur jaise niiñd ke
be-tāb halkore kī zad meñ haiñ
agar sūraj unheñ us niiñd se
āzād karne ke liye
kirnoñ ko koī izn detā hai
to vo āñkhoñ pe
apne haath rakh letī haiñ
gahrī nā-gavārī se
aur ab to
vasl kī mish.al bhī ḳhvābīda hai
sulgan se tahī hai
aur us ke dasht meñ
har sū barābar reshmī ḳhvāboñ kī
niilī raakh uḌtī hai
kahan the hum
samundar si kisi KHwahish ke sahil par
hansti bhigti saat ki sangat mein
hansi kitni sajal thi
aankh ke har kunj mein
titli ki surat uDti phirti thi
rah-e-shab mein ghana jangal
ya koi ajnabi rasta
hamare samne aata
to us diwar ke sine se kitne dur nikal aae
lahu ki tal par manzil
dhaDak uThti thi pahlu mein
kisi ehsas ke dhundle
ufuq se din nikal aata
aur apne sath kya kya
qurmuzi kirnon mein leTe
pyar ke sandes le aata
bahut takrim ke mausam
tah-e-jaan se ubharte the
duaon se bhare
sarsabz hathon ko yaqin tha
jhilmilate KHwab
KHushbu-KHeziyon mein fard honge
aur taqarrub ke kisi
betab se pal ko jagaenge
to sarpaT bhagti
ye umr ki hirni
kisi zanjir-e-wada mein
kahin ruk kar
hamein chahat se dekhegi
kahan hain hum
kisi viran sahil par
hamari aarzu ki kashtiyan
aundhi paDi hain
aur jaise nind ke
be-tab halkore ki zad mein hain
agar suraj unhen us nind se
aazad karne ke liye
kirnon ko koi izn deta hai
to wo aankhon pe
apne hath rakh leti hain
gahri na-gawari se
aur ab to
wasl ki mishal bhi KHwabida hai
sulgan se tahi hai
aur us ke dasht mein
har su barabar reshmi KHwabon ki
nili rakh uDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.