kahan ja raha hun
zamīñ pahle aisī kabhī bhī na thī
paañv miTTī pe hote the
nazreñ ufuq par
hameñ apne baare meñ ma.alūm hotā thā
ham kaun haiñ
aur kyā kar rahe haiñ
kahāñ jā rahe haiñ
magar aaj aalam ye hai
paañv rukte nahīñ
aañkh khultī nahīñ
ajnabī rāstoñ par
maiñ baḌhtā chalā jā rahā huuñ
zamin pahle aisi kabhi bhi na thi
panw miTTi pe hote the
nazren ufuq par
hamein apne bare mein malum hota tha
hum kaun hain
aur kya kar rahe hain
kahan ja rahe hain
magar aaj aalam ye hai
panw rukte nahin
aankh khulti nahin
ajnabi raston par
main baDhta chala ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.