Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan rauzan banaen

Jawayd Anwar

kahan rauzan banaen

Jawayd Anwar

MORE BYJawayd Anwar

    vahī qasmeñ shab-e-nā-mo'atabar

    vahī rasmeñ haiñ shahr-e-sañg-dil

    vahī dīvār-e-be-rauzan ki jis ko

    zabāneñ din Dhale tak chāTtī haiñ

    kise pūchheñ birūn-e-sahn kyā hai

    kahāñ kis khet meñ gandum ugī hai

    kahāñ kis jhiil meñ sūraj girā hai

    kahāñ haiñ terī zirheñ merī Dhāleñ

    kahāñ vo chāñd hai jis talab meñ

    ḳhalā meñ pheñk diiñ chehroñ ne āñkheñ

    kahāñ hai is ghanī dīvār-e-shab meñ

    ikahrī iiñT chunvā.ī pūchheñ

    kahāñ se koī ḳhisht-e-ġham ukhāḌeñ

    kahāñ dīvār meñ rauzan banā.eñ

    wahi qasmen shab-e-na-mo'atabar ki

    wahi rasmen hain shahr-e-sang-dil ki

    wahi diwar-e-be-rauzan ki jis ko

    zabanen din Dhale tak chaTti hain

    kise puchhen birun-e-sahn kya hai

    kahan kis khet mein gandum ugi hai

    kahan kis jhil mein suraj gira hai

    kahan hain teri zirhen meri Dhaalen

    kahan wo chand hai jis ki talab mein

    KHala mein phenk din chehron ne aankhen

    kahan hai is ghani diwar-e-shab mein

    ikahri inT ki chunwai puchhen

    kahan se koi KHisht-e-gham ukhaDen

    kahan diwar mein rauzan banaen

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 489)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
    • Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now