kahan se tum aae ho bhai
safede ke sumbul ke
aur popular ke chharīre shajar
mirī joh meñ aa.e the jab
mirī sabz dhartī kā ik bhī parinda
unheñ dekhne in kī shāḳhoñ meñ
ārām karne ko tayyār hargiz nahīñ thā
kabhī koī phūle paroñ vaalī
ik phuul sī fāḳhta
in kī shāḳhoñ kī jānib umañDtī
to bū se pareshān ho kar
falak kī taraf tiir ban kar
kuchh is taur jaatī
ki jaise vo vāpas zamīñ par nahīñ aa.egī
aur ab haal ye hai
phulā hī ke kīkar ke berī ke sab peḌ
in aane vāloñ se ghabrā ke
jaane kahāñ chal diye haiñ
ghane sabz shīsham ke chhitnār murjhā ga.e haiñ
agar koī bargad yā pīpal kā
ik aadh haikal
kisī kone khudre meñ
āñkhoñ ko mīche
paroñ ko sameTe khaḌā hai
to kyā hai
use kab kisī aane vaale
chale jaane vaale se koī ta.alluq rahā hai
jo yuuñ hai to aao chaleñ
aane vāloñ se chal kar mileñ
in se pūchheñ
kahāñ se tum aa.e ho bhaa.ī
irāda hai kab tak yahāñ Thaharne kā
safede ke sumbul ke
aur popular ke chharire shajar
meri joh mein aae the jab
meri sabz dharti ka ek bhi parinda
unhen dekhne in ki shaKHon mein
aaram karne ko tayyar hargiz nahin tha
kabhi koi phule paron wali
ek phul si faKHta
in ki shaKHon ki jaanib umanDti
to bu se pareshan ho kar
falak ki taraf tir ban kar
kuchh is taur jati
ki jaise wo wapas zamin par nahin aaegi
aur ab haal ye hai
phula hi ke kikar ke beri ke sab peD
in aane walon se ghabra ke
jaane kahan chal diye hain
ghane sabz shisham ke chhitnar murjha gae hain
agar koi bargad ya pipal ka
ek aadh haikal
kisi kone khudre mein
aankhon ko miche
paron ko sameTe khaDa hai
to kya hai
use kab kisi aane wale
chale jaane wale se koi talluq raha hai
jo yun hai to aao chalen
aane walon se chal kar milen
in se puchhen
kahan se tum aae ho bhai
irada hai kab tak yahan Thaharne ka
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.