kahani
ajab din the vo
jhāḌiyāñ aag ke jhunD kā.ī-zada taal
jin ke kināre hazāroñ baras se khaḌe
jand aur one ke Dhāñche
phulā.ī ke pharvāñ ke jañgal jo dhartī pe bichh se ga.e the
udāsī huā ban ke phirtī thī
aur sunnat sādhū
purāne daraḳhtoñ ke nīche bichhī ghaas par
aaltī pāltī maar kar baiThte the
ḳhud apne hī andar ke tārīk jañgal kā hissa bane the
ajab din the vo
jab bhī kuchh kahnā chāhā
ghuse murda lafzoñ kī koī kumak tak na aa.ī
jo aa.ī to phir hoñT sil se ga.e
aur āñkheñ
na kah sakne ke karb meñ mubtalā ho ke
apne hī halqoñ se bāhar nikal aa.eñ risne lagīñ
aur phir ek din
ūñche-nīche pahāḌoñ se hotā huā vo
yahāñ aa ke Thahrā
yahāñ aa ke us ne
muammar-tarīn one ke nīche vo sho.ala jagāyā
ki jis meñ bhasm ho ga.e sab ye one jhunD pharvāñ phulā.ī
havā ho ga.e sunnat-sādhū kaTī jhāḌiyāñ
aur kā.ī-zada taal dhartī ke nāsūr
ab un kā nām-o-nishāñ bhī nahīñ thā
tab us ne
muqaddas asā se vo jaadū jagāyā ki saarī fazā sail-e-anvār meñ bah ga.ī
ghoñsloñ aur phūloñ meñ Dhaltī ga.ī ye zamīñ
chahchahoñ ḳhushbuoñ se havā aT ga.ī
aaj vo lauT kar jā chukā hai
to phir kaalī dhartī ke andar se aag aa.e haiñ
janD ke peḌ kāñToñ-bharī jhāḌiyāñ
phir se risne lage haiñ
vo kā.ī-zada taal
jin ke andar se
manhūs sādhū nikal kar kināroñ pe baiThe hue haiñ
udāsī huā ban ke phirne lagī hai
kisī ne alaav pe bhārī qadam kyā rakhā hai
añdhere kā bojhal sā paT khul gayā hai
fazā bujh ga.ī hai
fazā bujh ga.ī hai
magar kor āñkhoñ ko kaise dikhā.ūñ
ki us bhārī paañv ke nīche
añdhere ke bojhal se is paT ke pīchhe
kiran apne bastoñ pe lipTī huī hai
sunahrī se ik biij meñ so rahī hai
ajab din the wo
jhaDiyan aag ke jhunD kai-zada tal
jin ke kinare hazaron baras se khaDe
jand aur one ke Dhanche
phulai ke pharwan ke jangal jo dharti pe bichh se gae the
udasi hua ban ke phirti thi
aur sunnat sadhu
purane daraKHton ke niche bichhi ghas par
aalti palti mar kar baiThte the
KHud apne hi andar ke tarik jangal ka hissa bane the
ajab din the wo
jab bhi kuchh kahna chaha
ghuse murda lafzon ki koi kumak tak na aai
jo aai to phir honT sil se gae
aur aankhen
na kah sakne ke karb mein mubtala ho ke
apne hi halqon se bahar nikal aaen risne lagin
aur phir ek din
unche-niche pahaDon se hota hua wo
yahan aa ke Thahra
yahan aa ke us ne
muammar-tarin one ke niche wo shoala jagaya
ki jis mein bhasm ho gae sab ye one jhunD pharwan phulai
hawa ho gae sunnat-sadhu kaTi jhaDiyan
aur kai-zada tal dharti ke nasur
ab un ka nam-o-nishan bhi nahin tha
tab us ne
muqaddas asa se wo jadu jagaya ki sari faza sail-e-anwar mein bah gai
ghonslon aur phulon mein Dhalti gai ye zamin
chahchahon KHushbuon se hawa aT gai
aaj wo lauT kar ja chuka hai
to phir kali dharti ke andar se aag aae hain
janD ke peD kanTon-bhari jhaDiyan
phir se risne lage hain
wo kai-zada tal
jin ke andar se
manhus sadhu nikal kar kinaron pe baiThe hue hain
udasi hua ban ke phirne lagi hai
kisi ne alaw pe bhaari qadam kya rakha hai
andhere ka bojhal sa paT khul gaya hai
faza bujh gai hai
faza bujh gai hai
magar kor aankhon ko kaise dikhaun
ki us bhaari panw ke niche
andhere ke bojhal se is paT ke pichhe
kiran apne baston pe lipTi hui hai
sunahri se ek bij mein so rahi hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 313)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.