kahani bas itni si thi
kahānī to merī kuchh thī hī nahīñ
ki merī ye zindagī to merī thī hī nahīñ
ye to bas āte-jāte logoñ kī rāhdārī thī
yā ek bas stop thā
jahāñ kuchh der ko log aate the
aur chale jaate the
jaise ek hotel thā jahāñ kuchh der ke liye log Thaharte the
aur maiñ in ko apnī kahānī meñ kuchh der kirdār rakhtī thī
kahānī merī thī hī kyā
merā apnā kirdār to sab meñ baTā huā thā
jo dikhā.ī kisī ko na detā thā
maiñ apnī zindagī kī kahānī meñ hī ḳhud
ek kirdār ko janm detī thī
ek kirdār ko mārtī thī
merī kahānī bhī kitnī ajiib thī
ki is meñ asal aur ḳhālis kuchh thā hī nahīñ
ek ghaḌī hoī naqlī aur banāvaTī zindagī
ke alāva
kahānī to bas itnī sī thī
ki kahānī kuchh thī hī nahīñ
kahani to meri kuchh thi hi nahin
ki meri ye zindagi to meri thi hi nahin
ye to bas aate-jate logon ki rahdari thi
ya ek bas stop tha
jahan kuchh der ko log aate the
aur chale jate the
jaise ek hotel tha jahan kuchh der ke liye log Thaharte the
aur main in ko apni kahani mein kuchh der kirdar rakhti thi
kahani meri thi hi kya
mera apna kirdar to sab mein baTa hua tha
jo dikhai kisi ko na deta tha
main apni zindagi ki kahani mein hi KHud
ek kirdar ko janm deti thi
ek kirdar ko marti thi
meri kahani bhi kitni ajib thi
ki is mein asal aur KHalis kuchh tha hi nahin
ek ghaDi hoi naqli aur banawaTi zindagi
ke alawa
kahani to bas itni si thi
ki kahani kuchh thi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.